Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Teri Aankhon K Isharon Ki Bohut Yaad Aai

Teri Aankhon k Isharon ki Bohut Yaad Aai.

Aaj Pat Jhar Mein Baharon ki Bohut Yaad Aai.

Larkhrata Hoa Mekhanay Se Jab Main Nikla.

Teri Baahon k Saharon ki Bohut Yaad Aai.

Jab Bhi Ponchay Kabhi Haathon Se Jo Aansu Apnay.

Teray Daaman k Kinaron Ki Bohut Yaad Aai.

Aaj Veeraan se Is Shehr Mein Aey Jan-E-Wafa.

Mujh Ko Bus Apnay Zakham Ki Bohut Yaad Aai.

· 1 Like · Feb 15, 2018 at 01:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kuch Is Ada Se Mere Yar

kuch is ada se merey yaar sar kasheeda huye
k fatah pa k b qatil hukam dareeda huye

ajeeb tor se doba hai dobney vala
k saahilon k bagoole b aab deeda huye

jo apney saaye k qamat se khof khatay
humarey baad vohi log ba guzeeda huye

main chup raha to uthain muj pe ungliyan kia kia
zuban mili to merey haraf nashneeda huye

humari lash se guzrey to bekhabar guzrey
voh jin k naam pe hum log sar bureeda huye

jinhain garoor tha apni sitamgari pe boht
sitam to yeh hai k voh b sitam raseeda huye

asaa-e-haq hai muyasir na takhat-e-dil Mohsin
hum aisey log b kis san main san-e-raseeda huye

· 1 Like · Feb 14, 2018 at 12:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Voh Din Kahan K Ab Koi

voh din kahan k ab koi mehfil sajaiye
ik dil hai so usi se mohabbat nibhaiye

mansoob kis se kijiye ashkon k aainey
ab kis ki rah mein yeh khazaney lutaiye ?

manzir jo ankh mein hai bhula dijiye usey
pather jo dil pe hai usey kesey hataiye

ab kon hai jo humain dey jeney ka hosla ?
itney dukhon mein kis k liye muskuraiye

kab tak kisi ki yad se rakhiye muamla !
aandhi mein ik chiraag kab tak jalaiye

Mohsin jo pal mein torr dey sadiyun ki dosti
us bevafa ki salgira kia manaiye ?

· 1 Like · Feb 14, 2018 at 06:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kitna Mushkil Hai Zindagi Karna

Kitna Mushkil Hai Zindagi Karna..
Jis Tarah Tujhse Dosti Karna..

Aik Kahani Na Aur Ban Jaye,
Tum Zara Baat Sarsari Karna..

Doob Jaun Na Mein Andheron Mein,
Apni Aankhon Ki Roshni Karna..

Kis Qadar Dil-Nasheen Lagta Hai,
Be-Iraada Tujhay Dukhi Karna..

Khoon-e-Dil Sarf Karna Parhta Hai,
Dekhna! Tum Na Shayari Karna..

Kitna Dushwar Hai Ana Kay Liye,
Saaray Mahol Ki Nafi Karna..

· 2 Like · Feb 13, 2018 at 17:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Shayed Neend Aa Jaye

Zara See Raat Dhal Jaye Tu Shayed Neend Aa Jaye
Zara Sa DIL Behal Jaye Tu Shayed Neend Aa Jaye

Abhi Tu Karb Hay, Be-Chainiyan Hain, Be Qarari Hay
Tabiyat Kuch Sambhal Jaye Tu Shayed Neend Aa Jaye

Abhi Tu Narm Jhonkon Main Chupay Hain Teer Yaadon Kay
Hawa Ka Rukh Bdal Jaye Tu Shayed Neend Aa Jaye

Ye Hansta Muskurata Qafla Chaand Taaron Ka
Zara Sa Aagay Nikal Jaye Tu Shayed Neend Aa Jaye

Ye Toufan Aansoo Ka Jo Umand Aaya Hay Palkon Tak
Kese Soorat Ye Tal Jaye Tu Shayed Neend Aa Jaye

· 2 Like · Feb 13, 2018 at 05:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sadaf Butt

Farishton Jesa Taqaddus Tha Uss Ka

farishton jesa taqaddus tha uss ka
yaqeen manen woh shakhs bewafa nikla

· 1 Like · Feb 10, 2018 at 00:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Maryam Rauf

Udas Muskurata

zindagi bhar udaas rehna hai
sochta hoon tou muskurata hoon

· 2 Like · Feb 08, 2018 at 22:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sana Dimple

Hum Hi Hadaf

Hum Hi Hadaf, Hum Hi bemisaal, Hum Hi Pe Taana zaani

Sitam Bhi Tere, Giley Bhi Tere, Yehi Sahi, Yunhi Sahi

· 1 Like · Feb 08, 2018 at 03:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Shaista Anam

Door Aa Bethi Thi Zamane Se

Door aa bethi thi zamane se
phir bhi duniya satane aa puhnchi

dil ki veraani pe hairaan thi abhi
ke khizaan gul churane aa punchi

sang-zani jab thami tu chalne ko
khaar rasta sajane aa puhnchi

dil ne jab saaz dard ka cheera
aankh aansoo bahane aa puhnchi

din ki vehshat se bach ke nikli thi
raat nindiya churane aa puhnchi

pur-sakoon main hui tu lamhoon mein
yaad teri satane aa puhnchi...

koi humdam na mila tu main khud
rasm-e-duniya nibhane aa puhnchi

main bhi gul ke astane per
apni bighri banane aa puhnchi!

· 1 Like · Feb 06, 2018 at 14:02
Category: sad
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS