Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mujhe Roz O Shab Ki Kitab Mai

Mujhe roz'o'shab ki kiatb me
Koi aisa harf na mil saka

Jisy misl'e'gul ka khitab don
Jisy chandni ki c taab don

Jisy dhond ker jisy khoj ker
Rukh'e'asman pe saja bhi don

Mery khoon'e'dil ki nigarshen
Mri rooh tak k fishaar bhi

Yahan ilm'o'fun ki dukan per
Bary sasty damo sy bik gaye

Mujhe tor ker,Muje phorr ker
Mery dosto ne jala dia

Raah'e'zindagi k ghubar me
Meri raakh tak ko ura dia

Mujhe phir bhi koi gila nhi
Jo mila nhi SO MILA NHI....!!!

· 1 Like · Feb 18, 2018 at 16:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Baaton Baaton Mai

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k

Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k

Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay

Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k

Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k

· 3 Like · Feb 18, 2018 at 04:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Na Aansu Aankh Mai Hain

Na aansu aaNkh meN hai aur na dil meN beqaraari hai
Magar woh dard jo tum ne diya tha ab bhi jaari hai

Dikhane ke liye yuuN to tabassum lub pe hai lekin
Ik aalam karb ka ab tak hamare dil pe taari hai

Yeh bateN ishq waloN ki haiN inko tum na samjho ge
Woh hai phooloN ki baarish jo bazaahir sangbaari hai

Shab-e Gham kya hai, kya hai hijr bus itna samjh lo tum
Ke saari zindagee ki subHoN per ik shaam bhaari hai

Hamara pyaar ik sachchai hai aur ik Haqeeqat bhee
Tumhara pyaar bus ik rasm hai ik duniya dari hai

Saraaye hai yahaN har aane wala lauT jayega
Kisee ki "Arzoo" kal thee kisee ki aaj baari hai

· 1 Like · Feb 17, 2018 at 21:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Meri Hasti Ka Har Ik Zarra

Meri hasti ka har ik zarra bikhar jaaye ga
"Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaaye ga"

Dard uTThe ga TERE dil se gHaTaa ki maanind
Aur palkoN pe MERI ashk wo dhar jaaye ga

Khwaab ki tarha jo rehta hai meri aankhoN mein
Dard ki tarha mere dil mein utar jaaye ga

Aabla-paa bhi hun sadiyoN se, be-nishaan bhi hun
Na-jaane kaise magar shoq-e-safar jaye ga

Kisay khabar hai k ehsaas tairi chaahat ka
Jo meri zaat mein zinda hai wo mar jaaye ga

· 1 Like · Feb 17, 2018 at 15:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kisi Ka Ishq Kisi Ka Khayal

Kisi ka ishq kisi ka khayal thai ham bhi
gaye dino mai bohot ba-kamal thai ham bhi

hamari khauj mai rehti thee'n titliya'n aksar
k apnay sheher ka husn o jamal thai ham bhi

zamee'n ki gaud mai sar rakh k so gaye aakhir
tumharay ishq mai kitnay nidhal thai ham bhi

zaroorato'n ne hamara zameer chaat liya
wagar na qaail e rizq o halal thai ham bhi

ham aks aks bikhartay rahay isi dhunn mai
k zindagi mai kabhi la-zawal thai ham bhi

· 1 Like · Feb 17, 2018 at 09:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Na Mehsoos Ho Gi Kami Zindagi Mein

Na mehsoos ho gi kami zindagi mein
Tumhaari mohabbat agar saath ho gi

To kar lein ge taskheer sara zamaana
Tumhaari mohabbat agar saath ho gi

Palat kar na dekhein ge dunia ko phir ham
Tumhaari mohabbat agar saath ho gi

ghamoN meN khushii ki barsaat hogii
tumhaari muhabbat agar saath hogii

JahaaN bhar ki daulat mere haath ho gi
Tumhaari mohabbat agar saath ho gi

bhalaa kis ki mujh jaise auqaat ho gi
tumhaari moHabbat agar saath ho gi

kabhi b nah tanha meri zaat hogi
tumhari mohabbat agar sath hogi

Dashte tanhai main bi ik umeed aass ho gee
TUmharai mohobat ager meray sath ho gee

Khushi do jahaN ki mere haath hogi
Tumhari mohabbat agar saath hogi

· 3 Like · Feb 17, 2018 at 03:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mera Zikar Na Karna

Dukh Dard Kay Maroon Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jaon To Yaroon Say Mera Zikar Na Karna.


Woh Zabt Na Kar Paen Gay Ankho Kay Samander
Tum Rah Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna.


Pholon Kay Nashaiman Main Raha Hoon Main Sada Say
Daikho Kabhi Kharon Say Mera Zikar Na Karna.


Shayad Yey Andhaira Hi Mujhay Rah Dikhaye
Tum Chand Sitaroon Say Mera Zikar Na Karna.


Gehrahi May Layjain Gay Tum Ko Bhi Baha Ker
Darya Kay Kinaroon Say Mera Zikar Na Karna.

Woh Shaks Melay To Usay Her Bat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikar Na Karna.

· 1 Like · Feb 16, 2018 at 21:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Waqt Nay Wo Khaak Uraii Hay

Waqt Nay Wo Khaak Uraii Hay Dil Kay Dasht Say
Qaaflay Guzartay Hain Phir Bhi Naqsh Pa Koii Nahi

Khud Ko Yon Mehsoor Kar Betha Hoon Apni Zaat Main
Manzelain Charon Taraf Hain Raasta Koii Nahi

· 4 Like · Feb 16, 2018 at 02:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Jab Tasawur Mai Jaam Aatay Hain

Jab Tasawwer Main Jam Aatay Hain
Aafatabi Maqaam Aatay Hain

Yoon Chatakhtay Hain Shaakh Pay Gunchay
Jesay Un Kay Salam Aatay Hain

Dil Ki Nadaniyon Pay Ghoor Na Kar
Khotay Sekkay Bhi Kaam Aatay Hain

Chand Lamhaat No Jawani Main
Wajib ul Ahtaraam Aatay Hain

Manzil -e- Ishq Main Khurd Walay
Sirf Do Chaar Gaam Aatay Hain

Dastan -e- Hayaat Main Sagher
Be Wafaon Kay Naam Aatay Hain

· 1 Like · Feb 15, 2018 at 13:02
Category: sad
 
Cuteness at its Best.
Posted by Moiz Arshad
Posted on : Dec 02, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS