Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Reza E Kaanch Ki Soorat

Reza-e-Kaanch Ki Soorat Main Bikhar Jata Hoon
Main Teri Yaad Me Jab Had Sy Guzr Jata Hoon

Ab Gurezaan Hai Wo Milnay Sey Jo Kehta Tha Kbi
Tum Se Milty He Main Aur Nikhar Jata Hon

Roz Khata Hon Tujhy Yaad Na Karny Ki Qasam
Roz Vadon Sy Men Apny He Mukar Jata Hon

Muj Ko Tamasha Bna Dia Hy Mohabt Ne Teri
Log Kasty Hen Aawazein Men Jidhar Jata Hon

Hr Gham Py Chaya Hy Mohabt Ka Dhoka
Ab Koi Pyar Sy Bulata Hy To Dar Jata Hon

· 1 Like · Feb 22, 2018 at 15:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Gham K Maroon K Sisakne Ka Saman Daikha Hai

gham k marun k sisaknay ka samaan dekha ha,
dard insan k pehlu main jwan dekha ha,

dard or dukh to milay mil na saka dil ko sukoon,
dil k har parday main ek gham ko nihaan dekha ha,

gulshan aabad tah e daam e sayadaan hi raha,
har jaga bulbuloon ko mehv e fighaan dekha ha,

pinhaan rehti hi nahi aatish e ulfat ki tapash,
Quais o Farhad k jalnay ka dhuwaan dekha ha,

kis qadar zulm ha insaan ka insaan k sath,
waqt ki ankh se ashkoon ko rawaan dekha ha,

kis k ajanay se ai FAZAL teray hosh uray,
yad tak bhi na raha kis ko kahan dekha ha,

· 1 Like · Feb 22, 2018 at 09:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mosam Badal Gaye Zamane Badal Gaye

Mosam badal gaye zamany badal gaye,
Lamhoon main dost barsoon purany badal gaye,

Din bhar rahy jo meri muhabbat ki shaoun main,
wo log dhoop dhalty hi thikany badal gaye,

kl jin k lafz lafz main chahat thi pyar tha,
lo aj un laboon k tarany badal gaye,

Ek shakhs kya gaya mera sheher chor kar,
jeenay k sary dhang purany badal gaye,

Ab wo wo na raha main main na raha,
sary hi zindagi k fasany badal gaye

· 2 Like · Feb 22, 2018 at 03:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Hamari Hasti Mita Rahe Ho

hamari hastee mita rahay ho tumhari marzi
nishan e ibrat bana rahay ho tumhari marzi

meray jighar mai jafa k khanjar utar kar tum
wafa k naghmay suna rahey ho tumhari marzi

tumhari khatir jo sari dunya ko chhorh aaya
usee say daman chhurha rahay ho tumhari marzi

meri umeedo'n k ashyanay ujharh kar tum
kisi ki dunya basa rahay ho tumhari marzi

tumhara deedar ikk bahisht e nazar hai lekin
tum apna chehra chhupa rahay ho tumhari marzi

· 2 Like · Feb 21, 2018 at 21:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kal Halki Halki Barish Thi

Kal halki halki barish thi,
or sard hawa ka raks b tha...
Kal phool b nikhre nikhre the,
or un main apka aks b tha...
Kal badal kale gahre the,
Kal chand pe lakhon pehre the...
Kuch tukre apki yadon k,
Barhi der se dil main thehre the...
Kal kali gathayen chayen the,
kal boht tm ay the...
or aj b sb kuch wesa hai,
so aj b tm yad aao ge...

· 1 Like · Feb 21, 2018 at 03:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Toote Hue Dilon Ki

Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai,
Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai.


Awaaz ghunghrooON ki…Nahin hai to kya hua
Saagar ke tootne ki…Sadaa mere saath hai


Tanhai kisko kehte hain…Mujhko pata nahin
Kya jaane kis hasin ki…Duaa mere saath hai


Paimana saamne hai to…Kuch gum nahin Nizaam
Ab dard-e-dil ki koi…Dava mere saath hai


Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai

· 2 Like · Feb 20, 2018 at 20:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mujhe Tum Dua Detay Ho Na

"Suno,
"Mujhay Tum Duaa Detay Ho Na...?
K...
"Khuda Tumhain Hamesha khush
Rakhay . . !





... "Jahan Bhi Rakhay..
"jis k saath b rakhay ,
"Par na janay Q ?
"Is Aakhri Jumlay Par Mujhay,
"Bad_Dua ka Gumaan Hota Hai......!

· 4 Like · Feb 20, 2018 at 07:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Qarz Gham Ka Chukana Parha Hai

Qarz gham ka chukana parha hai
ro k bhi muskurana parha hai

satch ko satch keh diya tha usii par
meray peetchay zamana parha hai

ik Khuda k na aagay jhukay to,
dar ba dar sar jhukana parha hai

tujh ko apna bananay ki khatir
sab ko apna banana parha hai

kya batayain k kin mushkilo'n mai
zindagi ko nibhana parha hai

sang dil hain jo mash'hoor NUZHAT
shair unko sunana parha hai

· 1 Like · Feb 19, 2018 at 11:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Rishton Ki Dhoop Chaon Se Azad Ho Gaye


Rishton ki dhoop chaon se Azad ho gaye,
Ab tu hamen B Sare Sabaq Yaad ho gaye,

Abadiyon me hoty hain barbad kitne log,
Hum dekhne gaye Tu barbad ho gaye,

Me parbaton se larta Raha Aur chand Log,
Geeli Zameen khod kar Farhaad ho gaye,

Bethy huye hain Qeemti Sofun par Bherriye zafar,
Jangal k log shehar me Abad ho gaye,

Lafzon k her pher ka dhanda B khoob hai,
Jaahil hamare Shehar me Ustaad ho gaye.

· 2 Like · Feb 19, 2018 at 04:02
Category: sad
 
Sikh in Pakistan Army
Posted by obaid kayani
Posted on : Sep 06, 2014

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS