Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Meri Aankhen Kharedo Gy

Meri Aankhen Kharedo gy?

Bohat Mjbor Halat mein Mujhe Nelam Karni Ha

Koi Mjhse Naqad le le
...
Men thore Daam le lunga

Jo De De Pehli Boli to usi K Naam kr dunga

Mujhe Bazar Wale Keh Rhy Hen Kam Aqal Taajir,

Suno Logo !

Nhi hon Mein koi Hirs Ka Khwaha'n,

Nafa Nuqsan Ki Shatranj nhi Main Khelne Aaya

Bata Paon Tumhen Kese K Kis tashveesh mien Hon Main

Suno Logo!

Bari Mehboob Hen Mujh ko Ye Meri Neem tar Aankhen,

Magr Ab Bechta hun K,

Mein ne ik Khwab dkha ta

Usy Apna Bnane ka
Usy Dil Mei Basane ka

Mujhe us Khwab Ka Tawaan Bharna Hai,

INHAIN NELAAM KARNA HAI

· 1 Like · Mar 05, 2018 at 06:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Wohi Raaton Ki Bedari Hai Ab Tak

Wohi raaton ki bedari hai ab tak
tamanna ka safar jaari hai ab tak

khyal-e-zabt aur tarq-e-talluq
yehi pathar bohat bhari hai ab tak

akeli chandni raaton main dil ko
sulag uthne ki bemari ha ab tak

abhi pichlay dino jo hum pe guzri
ussi rutt ka nasha taari hai ab tak

· 3 Like · Mar 05, 2018 at 00:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Main Ne Es Tor Se Chaha Tujhe Aksar Jana


tu ne us morr pe torra ha ta-alluk k jahan
laut sakta nahin koi bhi palat kr jana...

ab ye alam hai k ankhain jo khulain gi apni
yaad aye ga teri deed ka manzar jana...

mujh se mange ga tere ehd-e-mohabbat ka hisab
tere hijraan ka dehakta hua mehshar jana...

yun mere dil k brabar tera gham aya hai
jese sheeshay k mhkabil koi pathar jana...

jese mehtaab ko be-ant samandar chahe
main ne es tor se chaha tujhe aksar jana...

· 1 Like · Mar 04, 2018 at 16:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ussay Bhool Ja

Kahan Aa Kay Ruknay Thay Raastay,Kahan Mor Tha Ussay Bhool Ja
Woh Jo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh,Jo Nahin Mila Ussay Bhool Ja

Woh Teray Naseeb Ki Barishain Kisi Aur Chat Pay Baras Gayeen
Dil-e-Baykhabar Meri Baat Sun,Ussay Bhool ja Ussay Bhool ja

Main To Gum Tha Teray Hi Dihyaan Main,Teri Aas,Teray Gumaan Main
Saba Keh Gaye Meray Kaan Main,Mere Saath Aa Ussay Bhool Ja

Kisi Aankh Main Nahi Ashk-e-Gham,Teray Baad Kuch Bhi Nahin Hai Kum
Tujhay Zindagi Nay Bhula Diya To Bhi Muskura ,Ussay Bhool Ja

Kaheen Chaak-e-Jaan Ka Rafoo Nahi,Kisi Aasteen Par Lahoo Nahi
Kay Shaheed-e-Raah-e-Milaal Ka Nahi Khoon Bahaa,Ussay Bhool Ja

Kyun Aata Huwa Hai Ghubaar Main,Gham-e-Zindagi Kay Fishaar Main
Woh Jo Daruj Tha Teray Bakht Main,So Woh Ho Gaya ,Ussay Bhool Ja

Na Woh Aankh Hi Teri Ankh Thi,Na Woh Khwaab Hi Tera Khwaab Tha
Dil-e-Muntazir To Yeh Kis Liyen,Tera Jaagna,Usse Bhool Ja

Yeh Jo Raat Din Ka Hai Khail sa,Ussay Daikh Us Pay Yaqeen Na Kar,
Nahi Aks Koi Bhi Mustakil,Sar-e-Aayna,Ussay Bhool Ja

Tujhe Chand Ban Kay Mila Tha Jo,Teray Saahillo Pay Khilaa Tha Jo
Woh Tha Aik Darya Visaal Ka,So Utar Gaya,Ussay Bhool Ja

· 1 Like · Mar 04, 2018 at 10:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Wafa Hai Zaat Aurat Ki

Woh aksar mujh se kehti thi
wafa hai zaat aurat ki
magar jo mard hotey hain
bohat bedard hotey hain
kisi bhanwaray ki surat
gul ki khushboo loot lete hain
suno!
tum ko kasam meri
riwayat torr daina tum
na tanha chor ke jana
na hi dil torr ke jana
magar phir yun hua humdum
mujhe anjaan rastey par
akela chor kar usney
mera dil torr kar us ney
muhabbat chor di us ne
wafa hey zaat aurat ki
riwayat torr di us ne..

· 2 Like · Mar 02, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bichrey To Qurbaton Ki Dua Bhi Na Kar Sakey

Bichrey to qurbaton ki dua bhi na kar sakey,
Ab ke tujhey sapurd-e-khuda bhi na kar sakey,


Taqseem ho ke reh gaye sud kirchiyon me hum,
Naam wafa ka qarz ada bhi na kar sakey,


Nazuk mizaaj log the hum jesey aina,
Tootey kuch is tarha k sadaa bhi na kar sakey,


Khush bhi na rakh sakey tujhey apni chah me,
Achi tarha sey tujhko khafa bhi na kar sakey,


Esa sulook kar ke tamashai hans parain,
Koi gila guzaar gila bhi na kar sakey,


Hum muntazir rahey koi mushq-e-sitam to ho,
Tum maslihat shanaas jafa bhi na kar sakey.

· 1 Like · Mar 02, 2018 at 03:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Baazahir Aam Lehjay Main

Baazahir aam lehjay main
Kaha thamain ne jab us se
Badal lo raasta apna
Juda raahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se
Kuch nahi hota
Yehi sach hai keh hum do mukhtalif
Raston kay raahi hain
To phir kyon dil ki manain hum
Shuru main manti hoon main
Aziyyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga
Meray is aam say lehjay peh wo
Ik pal ko chonka tha
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
Yeh sab jo keh rahi ho khud ko yeh samjha bhi pao gi?
Bohat hi jee karra kar ke
Main us dam muskurai thi
Bohat khud pay jabr kar ke
Main us say keh yeh payi thi
Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon gi
Bhula kar sari batoon ko
Akaili bhi main jee loon gi
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
Aur ab tark-e-taalluq ko
Agarcheh umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai
Ke jaisay meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karta hai
WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?

· 1 Like · Mar 01, 2018 at 08:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Unko Tasawurat Me Aane Nahi Diya

Unko tasawurat me aane nahi diya,
Halat ne ye lutf uthane nahi diya ...

Gam meray sath sath bahut door tak gaye,
Shikwa magar zuban pe aane nahi diya ...

Dastaar gir gayi to gire sar to bach gaya,
kuchh be hisoon ko zarf Khuda ne nahi diya ...

Tha kitna dil shikan teri yadon ka marhala,
Aankhon ko phir bhi ashq bahane nahi diya ...

Majbooriyon ne paon mein zanjeer daal dee,
Hamne khushi se apko jane nahi diya ...

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha,
Aisa nahi ke sath dua ne nahi diya ...

Ae dost meri saada dili ne khabhi mujhe,
Aaina doston ko dikhane nahi diya ...

· 1 Like · Feb 28, 2018 at 19:02
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Magar Hosla Kahaan Mujh Mein

Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein
Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men,

Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari
Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khuwaan Mujh Men,

Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya
Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mujh Men,

Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam ??
Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ??

Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon
Kabhi Yeh Dard Utarta Hai Meri jaan Mujh Men,

Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni ??
Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein ??

Main Jab Bhi Haath barhanay Lagta Hoon Gulon Ki Taraf
To Urne Lagti Hain Shamsheer Titliyaan Mujh Mein.

· 1 Like · Feb 28, 2018 at 07:02
Category: sad
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS