Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna
Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne

Kese Ban Gaye Hain TereMere Hathon Main
Apne Naam Ki Lakeer Dekhna

Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne

Kese Ban Gaye Hain Tere Pyar Mein Faqeer Dekhna
Boht Naaz Hy Na Tujy Apni Husn ki Dolat Per Dost
Mere Paas B Hy Zakhmon Ki Jageer Dekhna

Mere Ho Or Mere Hi Raho Ge Hamesha
Rang Laaye Gi Sachey Pyar Ki Taseer Dekhna

Bohat Zulm Sahey Hain Teri Judai K Ham Ne ""
Sada Ek Jesi Nhi Rehti Taqdeer Dekhna

· 6 Like · Mar 09, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Hum Sa Ho Nahi Sakta...

Zamane Me Bhi Dhoondo Ge...
To Hum Sa Ho Nahi Sakta...
Sada Us Ko Hi Chahte Hain...
Jo Apna Ho Nahi Sakta...
Bohut Ujra Huwa Dil Hai...
Magar Apna Aqida Hai...
Jahan Mehken Teri Yaadain...
Wo Sehra Ho Nahi Sakta...
Kisi Ki Yaad Ab Bhi...
Raat Ko Sooney Nahi Deti...
Shab_e Tnhai Se Keh Do...
Main Tanha Ho Nahi Sakta...
Kuch Us Ki Bhi Khatayen Thi...
Wabaal_e Zindgi K Saath...
Sabhi Kuch Hi Muqaddar Ka...
Likha To Ho Nahi Sakta...
Juda Ho Kar Bhi DONO...
Jee Rahey Hain 1 Muddat Se...
Kabhi DONO Hi Kehtey The...
K AISA HO NAHI Sakta...

· 2 Like · Mar 09, 2018 at 14:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Safar E Wafa Ki Raah Me Manzil

Safar-E-Wafa ki raah me manzil jafa ki thi.
Kaghaz ka ghar bana k bhi
Khawahish hawa ki thi.
Thi jugnuon k shehar mein
Taroon sy
dushmani,
Mashooq chaand tha aur tamana sub'ha ki thi.
Tumne to ibadt ka tamasha bana dia,
Chahat namaaz ki thi per aadat qaza ki thi.
Main ne to zindgi ko teray naam likha tha,
Shayed magar kuch aur hi marzi khuda ki thi.
Dard he dena tha to pehly bata dety,
Hum ko bhe azal se he tamana saza ki thi.

· 1 Like · Mar 09, 2018 at 08:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Dikhai Diye Yun Ke Bekhud Kiya

Dikhai diye yun ke bekhud kiya,
Hamen aap se bhi juda kar chale.


Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.


Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.

Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.

Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.

Kahen kya jo puchhe koi ham se .
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.

· 2 Like · Mar 08, 2018 at 07:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Mousam E Ishq

Har pal dhiyaan main basne wale log afsaane ho jaate hain
aankhain boorhi ho jaati hain, khuwab purane ho jaate hain

saari baat taaluq wali jazbon ki sachaayi tak hai
mayl diloun main aa jaaye to ghar weerane ho jaate hain

manzar manzar khil uth'ti hai perahan ki qous-e-qazah si
mausam tere hans parne se aur suhaane ho jaate hain

jhon'pariyon main har ik talkhi, paida hote mil jaati hai
isi liye to waqt se pehle, tifl siyaane ho jaate hain

mausam-e-ishq ki aahat se hi har ik cheez badal jati hai
raatain pagal kar deti hain, din deewane ho jaate hain

· 1 Like · Mar 08, 2018 at 01:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Dil Ka Ye Haal Kahan Tha Phele

Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele
Dil Ka Ye Haal Kahan Tha Phele


Ab Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar
Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Phele


Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Pooch
Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele


Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andaisha-e-Jaan Tha Phele


Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay
Dil Ajab Kunj-e-Amaan Tha Phele


Ab Bhi TU Paas Nahi Hai Laikin
Is Qadar Door Kahan Tha Phele


Dairay Daalay Hain Bagolon Ne Jahan
Os Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Phele


Har Kharab Ye Sadaa Deta Hai
Mein Bhi Aabaad Makaan Tha Phele


Kia Se Kia Ho Gayi Dunya Pyaaray
TU Waheen Per Hai Jahaan Tha Phele


Ham Ne Aabaad Kia Mulk-e-Sukhan
Kaisa Sunsaan Samaa Tha Phele


Ham Ne Bakshi Hai Khamoshi Ko Zabaan
Dard Majboor-e-Fugaan Tha Phele


Ham Ne Roshan Kia Maamoor-e-Gham
Warna Har Simt Dhuwaan Tha Phele


Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya “Nasir”
Khana-e-Barbaad Kahan Tha Phele

· 1 Like · Mar 07, 2018 at 13:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga

Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga
Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga


Aks Beh Jaayein Ge Saaray Dhoop Ke Sailaab Mein
Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga


Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai
Raasta Kat Bhee Gaya Tou Faasla Reh Jaaye Ga


Loog So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Orh Kar
Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga


Jo Kubhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar
Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga

· 1 Like · Mar 07, 2018 at 07:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tere Milnay Ko Be Kal Hogaye Hain

Tere Milnay Ko Be-Kal Hogaye Hain
Magar Ye Loog Paagal Hogaye Hain


Bahaarain Le Ke Aaye Thay Jahaan Tum
Wo Ghar Sunsaan Jangal Ho Gaye Hain


Yahaan Tak Barh Gaye Aalaam-e-Hasti
Ke Dil Ke Honslay Shal Ho Gaye Hain


Unhain Sadyon Na Bhoolay Ga Zamaana
Yahaan Jo Haadsay Kal Ho Gaye Hain


Jinhain Hum Dekh Kar Jeetay Thay Nasir
Wo Loog Aankhon Se Ojhal Ho Gaye Hain

· 1 Like · Mar 07, 2018 at 01:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Meri Aankhen Kharido Ge

Meri Aankhen Kharedo gy?

Bohat Mjbor Halat mein Mujhe Nelaam Karni Hain

Koi Mjhse Naqad le le
...
Men thore Daam le lunga

Jo De De Pehli Boli to usi K Naam kr dunga

Mujhe Bazar Wale Keh Rhy Hen Kam Aqal Taajir,

Suno Logo !

Nhi hon Mein koi Hirs Ka Khwahan,

Nafa Nuqsan Ki Shatranj nhi Main Khelne Aaya

Bata Paon Tumhen Kese K Kis tashveesh mien Hon Main

Suno Logo!

Bari Mehboob Hen Mujh ko Ye Meri Neem tar Aankhen,

Magr Ab Bechtaa hun K,

Mein ne ik Khwab dekha tha

Usy Apna Banane ka
Usy Dil Mei Basaane ka

Mujhe us Khwab Ka Tawaan Bharna Hai,

INHAIN NELAAM KARNA HAI

· 1 Like · Mar 05, 2018 at 12:03
Category: sad
 
Walid ki Qadar Karo
Posted by iJunoon
Posted on : May 04, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS