Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Fasane Se Fasana Nikle

yuhin mil bethnay ka koi bahana niklay
baat se baat fasanay se fasana niklay

phir chalay zikar kisi zakham ke chhil jane ka
phir koi dard koi khawab purana niklay

phir koi yaad koi saaz uttha le aaye
phir kisi saaz ke parday se taranah niklay

yeh bhi mumkin hai kay sahraoon mein gum ho jayen
yeh bhi mumkin hai kharabon se khazana niklay

aao dhunden to sahi ehley wafa ki bastii
kya khabar phir koi gum gashta thikana niklay

yaar aisi bhi nah kar baat kay dono ro den
yeh talluq bhi faqat rasm-e zamana niklay

yeh bhi hai ab nah utthay naghma zanjeer
yeh bhi hai hum sa koi aur deewana niklay

· 1 Like · Mar 15, 2018 at 03:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Taaluq

ik talluq ko bikharne se bachanay ke liye
mere din raat guzarte hain adakari mein

woh kisi aur dawa se mera karta hai ilaaj
mubtala hon mein kisi aur hi bemari mein. .! !

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tera Sab Kuch Qabool Hai

pathar hai tairay haath mein ya koi phool hai
jab to qubool hai, tera sab kuch qubool hai

phir tunay day diya hai naya faasla mujhe
sir par abhi to pichli masafat ki dhool hai

to dil pay boojh le ke mulaqaat ko nah aa
milna hai is terhan to bicharna qubool hai

to yaar hai to itni kari guftagu nah kar
tera usool hai to mera bhi usool hai

lafzon ki aabaroo ko ganwao nah yun Adeem
jo maanta nahi, usay kehna fuzool hai

aake hansi labon pay bikhar bhi gayi Adeem
jane zayan hai yeh kay khushi ka husool hai

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 15:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Aks Kitne Utar Gaye Mujh Mai

aks kitney uttar gaye mujh mein
phir najane kidhar gaye mujh mein

yeh jo mein hon zara sa baqi hon
woh jo tum thay woh mar gaye mujh mein

mere andar thi aisi tareqi
aa ke asaib dar gaye mujh mein

mein ne chaha tha zakham bhar jayyn
zakham hi zakham bhar gaye mujh mein

pehlay utra mein dil ke darya mein
phir samandar uttar gaye mujh mein

kaisa khaka bana diya mujh ko
kon sa rang bhar gaye mujh mein

mein woh pal tha jo kha gaya sadiyan
sab zamane guzar gaye mujh mein

ban ke Khurshid samnay aaye
aur phir raat kar gaye mujh mein

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 14:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tum Jo Hote

Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota
Hum ne auron ko na youn dukh mein pokara hota

Jitni shiddat se main wabasta tha tum se Farhat
Kis tarha mera tere baad guzara hota...........!

Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalane k liye
main na hota tu koi aur tumhara hota

Aur hum baith k khamoshi se roye jate
Sham hoti kisi darya ka kinara hota

Dil se dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki
kis tarha ujrraa hoa shehar gawara hota

Chaand hota k meri Jaan sitara hota
Hum ne ik tere siwa dil se utaara hota

Tu ne socha hai kabhi kitna mohabat k baghair
Rooh farsaa dil-e-viraan ka nazara hota !!

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 02:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Laakh Doorie Ho

Laakh doori ho magar ehd nibhate rehna
Jab bhi barish ho mera sog manate rehnaa

Tum gaye ho to sare shaam yeh adat thehri
Bas kinaare pe khade haath hilaate rehnaa

Jaane is dil ko yeh adaab kahaan se aaye
Uski raahoN mai nigaahon ko bichhate rehna

Aik muddat se yeh mamool hua hai ab to
Aap hi roothna aur aap manate rehnaa

Tum ko maloom hai farhat ke yeh pagalpan hai
Door jaate huye logoN ko bulaate rehnaa

· 2 Like · Mar 11, 2018 at 18:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Siyah Hijr Gaya

Siyaah hijr gaya , zard intezaar gayey
kisi ka dard gaya dard k hisaar gayey

udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gayey

naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
humain yeh kaisi museebat main tum utaar gayey

ajeeb dushman-e-jaan tha k bin larray jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gayey

bohat hee thori see muhallat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gayey

kisi k bhaijey huay aagayey thay dunya main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gayey

na chaand atka kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat k aangan main baar baar gayey!!

· 1 Like · Mar 11, 2018 at 11:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Pehle Pehle

fikr-e anjaam kar anjaam se pehlay pehlay
din to tera hai, magar shaam se pehlay pehlay
kaisay dam toar gayeen seenay mein rafta rafta
hasaratein, hasrat-e nakaam se pehlay pehlay
baasِ fakhr howa rehzan o qaatil hona
ghar ujarty thay iss ilzaam se pehlay pehlay
aaye bikny pay to herat mein hamein daal diya
woh to be mol thay nilaam se pehlay pehlay
ho bhi sakta hai, bohat khaas nazar anay lagen
woh jo lagtay hain bohat aam se pehlay pehlay
haae woh waqt kay taari thi mohabbat hum par
hum bhi choank uthte thay ik naam se, pehlay pehlay
hum bhi sotay thay koi yaad sarahnay rakh kar
haan magar gardish-e ayyaam se pehlay pehlay
kis qader taiz hawae theen sar shaam kay dil
jal bujha raat ke hangaam se pehlay pehlay
ab ke mushkil woh pari hai kay yeh jaan jati hai
Saad rehtay thay hum aaraam se pehlay pehlay

· 3 Like · Mar 11, 2018 at 05:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kis Mohabbat Se Mujh Ko Maara Gaya

mere khowaboon mein chaand utara gaya
kis mohabbat se mujh ko mara gaya
aik qaatil ne takhat khaali kya
aik qaatil ko phir puraka gaya
meri aankhon mein khoon uttar aaya
mujh ko maqtal se jab guzaraa gaya
mere baazu nahi rahay mere
lo mara aakhri sahara gaya
phir marey haath paon chalne lagey
jab marey haath se kinara gaya
sab se barh kar tha saneha apna
jung ke sath dil bhi haara gaya
log hanstay hain apni baton par
hum jo kehte hain dil humhara gaya
meri qeemat wusool hotay he
Saad dushman pay mujh ko waraa gaya

· 2 Like · Mar 10, 2018 at 23:03
Category: sad
 
The Blue Dragon River in Portugal
Posted by iJunoon
Posted on : Jul 01, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS