Poetry / Sad

Fahad Bukhari

Bas Ab To Daman E Dil Chhore Do Bekaar Umeedo!

bas ab to daman e dil chore do bekar umeedo !
bohat dukh seh liye mein ne bohat din jee liya mein ne ?

#poetry />

· 0 Like · Apr 15, 2018 at 20:04
Category:
sad
 
Poetry / Sad

Asiah Rahi

Kal Shab Tera Khayal Bari Dair Tak Raha.

Kal shab tera khayal bari dair tak raha

Dil gham se nidhal bari dair tak raha.

· 0 Like · Apr 15, 2018 at 13:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sana Dimple

Meri Bazm E Dil Toh Ujar Chuki.

Meri bazm-e-dil toh ujar chuki ,mera farsh-e-jaan bhi
simat chuka ,
Sabhi jaa chuke mere hamnashin magar ik shakhs gaya
nahi
Gham-e-zindgi teri raah me, shab-e-aarzu teri chah me,
Jo ujar gaya woh basa nahin , jo bichhar gaya woh mila
nahi

· 0 Like · Apr 15, 2018 at 07:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ak Motiwala

Habs E Duniya Sey Guzar Jatay Hain.

Habs-e-Duniya Sey Guzar Jatay Hain...
Aesa Kartay Hain K Mar Jatay Hain,,,,

Kaisay Hotay Hain Bicharrnay Walay...?
Hum Ye Sochien Bhi To Dar Jatay Hain,,,,,

Dil Jo Tootay Bhi To Sar-e-Mehfil Bhi....
Baal Bey_Waja Bikhar Jatay Hain,,,,,,

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhien....
Charrtay Darya To Uttar Jatay Hain,,,,

Dhoop Ka Roop Rachaanay Walay....
Shaam Ko Aur Nikhar Jatay Hain,,,,

Tum Kahan Ja''o Gay Socho Mohsin......
Log Thak Haar K Ghar Jatay Hain,,,,,

· 0 Like · Apr 15, 2018 at 01:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Imran Rashid Malik

Ik Mashwara Do Dil Aksar Ghamgeen Rehta Hai.

Ik mashwara do dil aksar ghamgeen rehta hai

Ya dil badal dalo ya dil mein rehne wala

· 0 Like · Apr 14, 2018 at 13:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sana Dimple

Dil Kisi Or Ka Na Ho Paya.

Dil kisi or ka na ho paya

Aarzo aaj bhi meri tum ho

· 2 Like · Apr 14, 2018 at 07:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abdul Karim Khan

Jane Waley Ne Yea Bhi Na Socha Mohsin.

Jane waley ne yea bhi na socha Mohsin

Jo unko dekh k jete hain kider jain gaye

· 0 Like · Apr 14, 2018 at 01:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mohammad Ali Khan

Farmaish

Aakhir Ek Din
Usne Mujh Se Keh Hi Dala
Mujh Par Bhi Ek Nazm Kaho Tum
Aisi Nazm
K Jis Mai Mera Naam Na Aaye
Mai Khud Aaon

(Wasif Khayal)

#wasifaliwasif

· 0 Like · Apr 12, 2018 at 06:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Andaleeb Siddiqui

Aankhen Bhi Wohi Hain

ankhen bhi wohi hain to darecha bhi wohi hai
aur soch ke aangan mein utartaa bhi wohi hai

woh jis ne diye mujh ko mohabbat ke khazanay
baadal ki terhan aankh se barsa bhi wohi hai

· 0 Like · Apr 11, 2018 at 23:04
Category: sad
 
Right! Me Too
Posted by Nasim Rana
Posted on : Apr 16, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS