Sad
Poetry / Sad
Shabana Gul
Takleef Main Jo Lab Pe Tera Naam Agaya
Takleef main jo lab pe tera naam agaya
kuch dard barrh gaya ,zara aaram agaya
Main ja raha tha tere tasawwur k sath sath
raaste main yun hi aalam_e_ajsaam aagaya
Hum ko to may k baab main sirf itna ilm hai
jab bhi mutaalba kiya ik jaam aagaya
poocha tha ik sahib_e_dil ne mera mizaaj
be saakhta labon pe tera naam aagaya
hum ne tumhare baad na rakhi kisi se aas
ik tajruba bohot tha barre kaam aagaya
Aye kaash, jhoot he jhoot he koi agar kahe mujhe
uth bhi adam saakhi gulfaam aagaya.
kuch dard barrh gaya ,zara aaram agaya
Main ja raha tha tere tasawwur k sath sath
raaste main yun hi aalam_e_ajsaam aagaya
Hum ko to may k baab main sirf itna ilm hai
jab bhi mutaalba kiya ik jaam aagaya
poocha tha ik sahib_e_dil ne mera mizaaj
be saakhta labon pe tera naam aagaya
hum ne tumhare baad na rakhi kisi se aas
ik tajruba bohot tha barre kaam aagaya
Aye kaash, jhoot he jhoot he koi agar kahe mujhe
uth bhi adam saakhi gulfaam aagaya.
·
0 Like ·
Apr 20, 2018 at 11:04
Category: sad
Poetry / Sad
Mohammad Afzal
Hum Manayen Kia
Jab Mohabbat hi nahi rahi Darmiyan
Wo Roothen kia, Hum Manayen kia?
Wo Roothen kia, Hum Manayen kia?
·
0 Like ·
Apr 19, 2018 at 10:04
Category: sad
Poetry / Sad
Aleezay Abbasi
Hum Kis Se Karen Baat
Khamosh sa shehr aur guftugo ki aarzu
Hum kis se karen baat koi bolta nahi
Hum kis se karen baat koi bolta nahi
·
0 Like ·
Apr 19, 2018 at 04:04
Category: sad
Poetry / Sad
Maryam Rauf
Wo Kyun Nahi Milta
Dunya bhi mili hai Gham-e-Dunya bhi mila hai
Wo kyun nahi milta jisay manga tha Khuda se
Wo kyun nahi milta jisay manga tha Khuda se
·
0 Like ·
Apr 18, 2018 at 22:04
Category: sad
Poetry / Sad
Madiha Sultan
Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay,
Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay
TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay
Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay
Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay.
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay
TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay
Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay
Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay.
·
0 Like ·
Apr 18, 2018 at 03:04
Category: sad
Poetry / Sad
Mehwish Shahzadi
Deeda E Dil Ki Tabahi Mujhy Manzoor Lekin.
Deeda-e-Dil ki Tabahi Mujhy manzOor lekin,
Unka Uttra hOwa Chehra nahi dekha jaata.!
Unka Uttra hOwa Chehra nahi dekha jaata.!
·
0 Like ·
Apr 17, 2018 at 07:04
Category: sad
Poetry / Sad
Aleezay Abbasi
Yeh Jaan Bhi Gawah Us Ki
Kaise Laron Muqadma Khud Se Us Ki Yaadon Ka
Yeh Dil Bhi Wakeel Us Ka Yeh Jaan Bhi Gawah Us Ki
Yeh Dil Bhi Wakeel Us Ka Yeh Jaan Bhi Gawah Us Ki
·
0 Like ·
Apr 17, 2018 at 00:04
Category: sad
Poetry / Sad
Qaisar Mahmood
Yeh Dil Buhat Udaas Hai
Yeh dil buhat udaas hai jab se khabar hui
Milte ho tum khuloos se har aadmi k sath
Milte ho tum khuloos se har aadmi k sath
·
3 Like ·
Apr 16, 2018 at 11:04
Category: sad
Sponored Video