Poetry / Relegious

Sukun milta hai
Maal jama karnay se nahi,
Khairaat karne se!

Awara gardi karne se nahi,
Muhabbat karne se

QurAan ko saja kar rakhne se nahi,
pabandi se uski tilawat karne se!

Chori karne se nahi,
Halaal rozi kamane se!

Garibon ko dhakay dene se nahi
unko khana khilane se

Bure kaam karne se nahi,
Achhe kaamon se!

Insaniyat ko dukh dene se nahi, balki..
Insaan ke saath nek sulook karne se

Maa Baap ko tang rakhne se nahi,
unki duwayen lene se!

bahin bhaiyon se lad kar nahi,
unki maddad karke!

Doston se Nazren Chura kar nahi,
Waqt par unke kaam aane par!

Khuda ko bhoolne se nahi,
Uski ibadat karne se!

Dunia ke faraiz (Farz) se bhag kar nahi,
unhe pura karne se!

Advertisement
· 1 Like · Jun 11, 2015 at 11:06
Category: relegious
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS