Poetry / Sad

Fozia Iqbal

Ghar Bana Kar Maire Dil Mai

· 1 Like · Sep 25, 2018 at 07:09
Category: sad
 
Poetry / Relegious

Safia Saeed

Buray Hain Bhalay Hain

· 3 Like · Sep 25, 2018 at 01:09
Category: relegious
 
Poetry / Sad

Kamran Kaliya

Jawan Ghuncho Ko Batlaao Mohabbat Maar Deti Hai

Jawan Ghuncho Ko Batlaao Mohabbat Maar Deti hai
Payaam E Zeest Phelao Mohabbat Maar Deti Hai ,
Sabaq taleem Karte Ho Mat Bholo , Parh,hana Hai
Mohabbat Tarq Farmaao , Mohabbat Maar Deti hai ,
Bohat Lela Bohat Majnu Huye Nazr E Wafa Aakhir
Na ye Sartaan Phelaao , Mohabbat Maar Deti Hai ,
Bohat Dekhe Mareez E Ishq Ham Ne , Ab Taqaaza Hai
Tabeeb E Ishq Ban Jao Mohabbat Maar Deti hai ,
Kisi Ko Ishq Ki RaahO Par Dekho To Keh Dena
Sitam Khud Par Na dHaao ,Mohabbat Maar Deti hai ,
Mujhe Yaaran E Mehfil Se Sawaal Aata Bhi Hai To Kya
Ye KehTe Hai , Palat Aao , Mohabbat Maar Deti hai ,
Musaafat Se, RafaaQat Se,Ye Seekha Wisl O FurQat Se
Agar Tum Is Se Bach jao ,Mohabbat Maar Deti hai...

· 1 Like · Sep 24, 2018 at 19:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mehwish Shahzadi

Aur Aahista Kijiye Baatein, Dhadakane Koi Sun Raha Hoga.

Aur aahista kijiye baatein, dhadakane koi sun raha hoga
Lafz girane na paaye honton se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhate hain ye darodivar aaj ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Aise bolo ki dil ka afasaana, dil sune aur nigaah doharaaye
Apane chaaro taraf ki ye duniya
Saans ka shor bhi na sun paaye
Aur aahista kijiye baatein,
Koi jhonka hawa ka aawara, dil ki baaton ko uda na le jaye,
Aur aahista kijiye baatein,
Aaj itane karib aa jaao , duriyon ka kahi nishaan na rahe
Aise ek dusare me gum ho jayen, faasala koi darmiya na rah jaye
Aur aahista kijiye baatein,..

· 2 Like · Sep 24, 2018 at 12:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Madiha Shahid

Sahaab Tha K Sitaara, Guraiz Pa Hi Laga.

Sahaab Tha K Sitaara, Guraiz Pa Hi Laga
Wo Apni Zaat K Har Rang Me Hawa Hi Laga
Me aisy Shakhs Ki Msoomiyat Pe Kia Likhon
Jo Muj Ko Apni Khtaaon Me B Bhala Hi Laga
Zabaan Sy Chup Ha Magar Aankh Baat Karti Ha
Nazar Uthaayi Ha Jub B To Bolta Hi Laga
Na Mery Lutf Pe Hairaan Ha Na Apni Uljhan Per
Mujy Ye Shakhs To Har Shakhs Se Judaa Hi Laga,.

· 1 Like · Sep 23, 2018 at 22:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sadaf Faiz

Wo Shakhs Mujhay Jeet K Haara Hai Aur Bus.

Wo Shakhs Mujhay Jeet K Haara Hai Aur Bus
Itna Hi Zindagi Ka Khasaara Hai Aur Bus ..
Duniya Ko Us Mein Dard Ki Shiddat Kahaan Milay
Aankhon Se Toota Huwa Taara Hai Aur Bus ..
Lafzoo''n Mein Dard-e-Hijar Ko Mehsoos Kar K
Kehnay Ko Mein Ne Waqat Guzaara Hai Aur Bus ..
Ab Un Mein Koi Khuwaab Sajaanay Nahi Mujhay ..
Aankhoo''n Ko Intizaar Tumhaara Hai Aur Bus ..
Kaisay Kahoon K Us Ko Iraada Badal Gaya ..
Sach To Yahi Hai Us Ne Pukaara Hai Aur Bus ..
Mein Ne Kaha K Khuwaab Mein Dekhi Hain Baarishen ..
Us Ne Kaha Ek Ishaara Hai Aur Bus ...!!

· 2 Like · Sep 23, 2018 at 13:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abdul Rahman

Uss Ki Yaad Aai Hai Dharrkano''n Zara Aahista Chalo.

Uss Ki Yaad Aai Hai Dharrkano''n Zara Aahista Chalo....

Dil Ki Dhakk Dhakk Sey Tasawwur Mien Khalal Parta Hai...



· 2 Like · Sep 23, 2018 at 06:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Amina Noor

Fidous E Jannat Mien Laakh Hooro''n Ka Tasawwur Sahi.

Fidous-e-Jannat Mien Laakh Hooro''n Ka Tasawwur Sahi....

Mian Ek Shakhs K Ishq Sey Niklun To Wahan Tak Socho''n...



· 1 Like · Sep 22, 2018 at 23:09
Category: sad
 
Poetry / General

Amir Rasheed

Allah Ko Bhul Gaye Log Fikr E Rozi Mein.




· 2 Like · Sep 22, 2018 at 16:09
Category: general
 
Like Karo
Posted by Abdul Khaliq
Posted on : Sep 04, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS