Poetry / General

Muzammil Shahzad

Us Dais Main Lagta Hai Adalat Nahin Hoti,
Jis Dais Main Insaan Ki Hifazat Nahin Hoti..

Makhlooq-e-Khuda Jab Kisi Mushkil Main Phansi Ho,
Sajday Main Parray Rehna Ibadat Nahin Hoti..

Hum Khak Nasheenon Se Hi Kyun Kartay Hain Nafrat,
Kya Parda Nasheenon Main Ghalazat Nahin Hoti..

Ye Baat Nayi Nasal Ko Samjhani Parray Gi,
Uryani Kabhi Bhi Saqafat Nahin Hoti..

Sir Ankhon Par Hum Us Ko Bitha Laitay Hain Aksar,
Jis K Kisi Waday Main Sadaqat Nahin Hoti..

Pohncha Hai Agarchay Barra Nuqsan Hamaisha,
Phir Bhi Kisi Banday Ki Ataat Nahin Hoti..

Har Shakhs Sir Pe Kafan Bandh K Niklay,
Haq K Liye Larrna To Baghawat Nahin Hoti..

Advertisement
· 2 Like · Mar 02, 2018 at 09:03
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Kaash!
Posted by Gulzar Ahmed
Posted on : Nov 18, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS