Sms / Ghazal

Ijunoon

Aaj Jo Tanha Hai Woh Pardes Mein

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chaand ko Dekha Ho ga
Jab Saath Thay tou Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Rothti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Gharr ke khud hi Behal Hoti gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Meri us ney Jhaanka Ho ga

· 4 Like · Dec 31, 2014 at 00:12
Category: ghazal
 
Poetry / Poetry Sms

Muzammil Shahzad

Malum Nahi Kyon

Dil zindagi se bezar hai malum nahi kyon
Seene mein saans hai malum nahi kyon
Iqrar e wafa yaar ne har ek se kiya
Mujh se hee bas inkar hai malum nahi kyon.

· 3 Like · Dec 30, 2014 at 22:12
Category: poetry-sms
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal E Yaar Hota

Yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota

ager or jeete rehte tu yehi intazar hota
kahoon kiss se main k kia hai
shab-e-ghum buri bala hai
mujhe kia bura tha marna ..
ager aek baar hota

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota ..

koei mere dil se poche
tere teer neem kush ko
yeh khalish kahan se hoti ..
ju jiger k paar hota
tere wade per jiye hum..
tu yeh jaan jhot jana ..
k khoshi se mar na jate ager etbaar hota ..

yeh na thi humri kissmat k wisaal-e- yaar hota

yeh kahan ki dosti hai ..
k bane hain dost saqi ..
koi chehra saaz hota ..

tu yeh na ghumm saath hota

· 2 Like · Dec 30, 2014 at 18:12
Category: ghazal
 
Poetry / Poetry Sms

Armaan

Honton Pe

Kabhi phool kabhi hawa banke chu jayenge
Hum tou mar ke bhi sath nibha jayenge
Kabhi tanhai mein yaad karna hume
hasi banke honton peh khil jayenge

· 2 Like · Dec 30, 2014 at 15:12
Category: poetry-sms
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho

Jo Meri aankhon se Khuwab dekho
Tou Aik shab bhi na So sako Gay

K Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay

K Khuwab kya hain Azaab Hain yeh
Mere Dukhon ki kitaab hain yeh

Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti hain

Pinapti Hain In main Vahshatain see
Aziatain In main Photti hain

Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay
Un hi se shakhain see totti hain

Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
Ahal Raha hai Dukhon ka Lava

Rahein Aatish hain khuwab Mere
Khayal sare Jhulas gaye hain

Sulagti Khuahish hain khuaab Mere
Ukharrti Sansain hain Zindagi ki

Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere

Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
Tou Aik shab bhi na So sako Gay!

· 3 Like · Dec 30, 2014 at 13:12
Category: ghazal
 
Poetry / Poetry Sms

Shoaib Khan

Maut Se Saansen Udhaar Leke Ayenge

Khushiyon ka sansar leke ayenge,
Patjhad me bhi bahaar leke ayenge.
Jab bhi pukaroge pyar se hume,
Maut se saansen udhaar leke ayenge...

· 4 Like · Dec 30, 2014 at 09:12
Category: poetry-sms
 
Articles / Featured

Ijunoon

Univers Ka Aakhri Kinara Daryaft

برطانیہ کے سائنسدانوں نے کائنات کا آخری کنارہ دریافت کر نے کا دعویٰ کیا ہے۔ لندن میں میڈیا سے گفتگو کرتے ہوئے برطانوی یونیورسٹی آف برسٹل کے سائنسدان میلکولم گریمر نے بتایا کہ انکی ریسرچ ٹیم نے کائنات...
مزید پڑھیں

· 1 Like · Dec 30, 2014 at 09:12
Category: featured
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Merey Sabar Ka Na Ley Imtehaan

Merey sabar ka na ley Imtehaan
Meri khaamoshi ko sadaa na dey
Jo terey baghair na jee sakey
Usey jeeney ki tou duaa na dey

Tu azeez Dil-o-nazar sey hai
Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai
Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla
Kaheen waqat aur barha na dey

Tujhe bhol ke bhi na bhulaa sakoon
Tujhe chah ke bhi na pa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka silaa na dey

Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi
Merey tan badan sey lypat gayi
Jo bujha sakey tou buja isey
Na bujha sakey tou hawa na dey

Tujhe agar milein kabhi fursatein
Meri shaam phir sey sanwaar dey
Agar qatal karna hai tou qatal kar
Yoon judayioon ki saza na dey...

· 2 Like · Dec 30, 2014 at 09:12
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Koi Mousam Bhi Hum Ko Raas Nahin

Koi mousam bhi hum ko raas nahin
woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin

aik muddat say dil k paas hay woh
aik muddat say dil udas nahin

jub say daikha hay shaam aankhon mein
tub say meray qaim hawaas nahin

meray lehjay mein us ki khushbo hay
us ki baaton mein meri baas nahin

Jitna Shaffaf hay tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahin

samnay meray aik darya hay
hont sokhay hain phir bhi pyas nahin

jis ko chaha hay dil-o-jan say saqi
janay woh kion nazar shinaas nahin

· 2 Like · Dec 30, 2014 at 04:12
Category: ghazal
 
karkardagi ki nai bulandiyan
Posted by iJunoon
Posted on : May 24, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS