iJunoon Archives
Poetry / Love
Mohammad Asif
Guftagoo Ke Lamhon Mein
guftagoo ke lamhon mein
deikh hi nahi paatey
ham tumhare chehre ko
tum hamari ankhon ko
aaj aisa karte hain
chashm-o-lub ko parhte hain
baat chor dete hain...
jane kia lamha ho ga
jab yeh haath haathon se
gar kabhi juda ho ga
aaj aisa karte hain
zabt-e-jaan parkhte hain
haath chor dete hain...
kash koi samjha dey
log kis tarha dil ki
manzilein alag kar ke
saath chor dete hain
aaj aisa karte hain
be-sabab bikharte hain
zaat tor dete hain...
deikh hi nahi paatey
ham tumhare chehre ko
tum hamari ankhon ko
aaj aisa karte hain
chashm-o-lub ko parhte hain
baat chor dete hain...
jane kia lamha ho ga
jab yeh haath haathon se
gar kabhi juda ho ga
aaj aisa karte hain
zabt-e-jaan parkhte hain
haath chor dete hain...
kash koi samjha dey
log kis tarha dil ki
manzilein alag kar ke
saath chor dete hain
aaj aisa karte hain
be-sabab bikharte hain
zaat tor dete hain...
·
1 Like ·
Nov 20, 2018 at 13:11
Category: love
Quotes / Urdu Quotes
Kashif Mali
Asool
Asool kamre ki aaraish k bajaye amal k liye hote hain.
·
1 Like ·
Nov 20, 2018 at 13:11
Category: urdu-quotes
Jokes / Miscellaneous
Noor Bukhari
Narajgi Kee Khat O Kitabat
Mian Biwi kafi dinoo sey aik dosrey sey naraz thy.in kee bol chal bhi band thi.Aik subha mian ko jald bedar hoo kar kahien jana tha.is liye is ney kaghaz per likha""Mujhey 7 bajey utha dena"".Aur yeah kaghaz biwi k takye k pass rakh dia.Subha mian kee ankh khuli to 8 baj chukey thy,Wo gusey sey utha to dekha k takye k pass aik kagaz para hoa hey.jis per likha tha ""7 baj gey haien aab uuth jaooo.-:)
·
2 Like ·
Nov 20, 2018 at 07:11
Category: miscellaneous
Quotes / Urdu Quotes
Sana Dimple
Sacha Rishta
·
2 Like ·
Nov 20, 2018 at 07:11
Category: urdu-quotes
Poetry / Love
Mohammad Asif
Jab Rishte Tootne Lagte Hain Teri Yaad Buhat Tarpati Hai
Jab rishte tootne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Tanha jab rootey lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Dukh ke sooraj ki dhoop taley tanha jab khudko paata hoon
Sab khuwab bikharne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Maazi ke ujhre gulshan ke auraaq palatne lagta hoon
Jab zakham sulagne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Mere sheher mein aksar ati hai chahat ki nasheeli thandi hawa
Jab log behekne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Sansaar ke hanthon jab bhi kabhi do pyar se hanste baste dil
Roo Roo kar bicharhne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Jab saste damon bikne lage ehsaas ke moti gali gali
Jazbaat sisakne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

3 Like ·
Nov 20, 2018 at 06:11
Category: love
Social Wall / Photos
Babar Ali
Sardar Ne Kapray Dhonay Ka Socha.
·
3 Like ·
Nov 20, 2018 at 03:11
Category: photos
Quotes / Urdu Quotes
Najam Ali Khan
Aankh
Is se pehle k aankh band ho jaye aankh khol leni chahiye.
·
2 Like ·
Nov 20, 2018 at 03:11
Category: urdu-quotes
Poetry / Love
Hafeez Ur Rehman
Main Tera Ajj Hoon Kal Par Nah Dekh Taal Mujhe
Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe
main tera roop hoon joban main hi sanbhaal mujhe
mere hi dum se hain teri yeh dharkanain zinda
main tera qalab hoon siney se mat nikaal mujhe
main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe
milain mujh main mohabat ke goher tujh ko
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe
tu dharkanoon ko choranay ke fun se waaqif hai
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe
usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe
main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe

Nov 19, 2018 at 23:11
Category: love
Quotes / Urdu Quotes
Zahid Mahmood
Kabhi Apne Dost Par Bharosa Mat Karo.
·
4 Like ·
Nov 19, 2018 at 23:11
Category: urdu-quotes
Sponored Video