iJunoon Archives
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Baazahir Aam Lehjay Main
Baazahir aam lehjay main
Kaha thamain ne jab us se
Badal lo raasta apna
Juda raahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se
Kuch nahi hota
Yehi sach hai keh hum do mukhtalif
Raston kay raahi hain
To phir kyon dil ki manain hum
Shuru main manti hoon main
Aziyyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga
Meray is aam say lehjay peh wo
Ik pal ko chonka tha
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
Yeh sab jo keh rahi ho khud ko yeh samjha bhi pao gi?
Bohat hi jee karra kar ke
Main us dam muskurai thi
Bohat khud pay jabr kar ke
Main us say keh yeh payi thi
Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon gi
Bhula kar sari batoon ko
Akaili bhi main jee loon gi
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
Aur ab tark-e-taalluq ko
Agarcheh umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai
Ke jaisay meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karta hai
WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?
Kaha thamain ne jab us se
Badal lo raasta apna
Juda raahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se
Kuch nahi hota
Yehi sach hai keh hum do mukhtalif
Raston kay raahi hain
To phir kyon dil ki manain hum
Shuru main manti hoon main
Aziyyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga
Meray is aam say lehjay peh wo
Ik pal ko chonka tha
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
Yeh sab jo keh rahi ho khud ko yeh samjha bhi pao gi?
Bohat hi jee karra kar ke
Main us dam muskurai thi
Bohat khud pay jabr kar ke
Main us say keh yeh payi thi
Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon gi
Bhula kar sari batoon ko
Akaili bhi main jee loon gi
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
Aur ab tark-e-taalluq ko
Agarcheh umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai
Ke jaisay meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karta hai
WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?
·
1 Like ·
Mar 01, 2018 at 08:03
Category: sad
Jokes / Miscellaneous
Mohammad Asif Yaqoob
Shirt K Liye Kapda Dikhaiye
Pappu: Shirt k liye kapda dikhaiye
Salesman plain me dikhaun?
Pappu :- nahi saale Helicopter me dikha saale Bandar ki aulad
Salesman plain me dikhaun?
Pappu :- nahi saale Helicopter me dikha saale Bandar ki aulad
·
3 Like ·
Mar 01, 2018 at 07:03
Category: miscellaneous
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Aarzoo -e- Na Tamam
Teray Pyaar Ki Barish
Gar Nahi Mera Muqaddar
Tu
Ak Saawan Beta Jao
Tum Sang Meray
Gar Nahi Mera Muqaddar
Tu
Ak Saawan Beta Jao
Tum Sang Meray
·
1 Like ·
Mar 01, 2018 at 02:03
Category: love
Jokes / Judge Aur Mujrim
Asiya Faheem
Qanoon Ki Kitaab Ka Safha Number 507
wakeel judge se: qanoon ki is kitaab kay safha number 507 kay mutabiq mairy moakil ko bari kiya jaye judge ne safha dekha to safha number 507 par panch panch hazar walay 5 note thay.
judge: iss tarah kay 2 aur saboot paish kiye jayen
judge: iss tarah kay 2 aur saboot paish kiye jayen
·
6 Like ·
Mar 01, 2018 at 00:03
Category: judge-aur-mujrim
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Unko Tasawurat Me Aane Nahi Diya
Unko tasawurat me aane nahi diya,
Halat ne ye lutf uthane nahi diya ...
Gam meray sath sath bahut door tak gaye,
Shikwa magar zuban pe aane nahi diya ...
Dastaar gir gayi to gire sar to bach gaya,
kuchh be hisoon ko zarf Khuda ne nahi diya ...
Tha kitna dil shikan teri yadon ka marhala,
Aankhon ko phir bhi ashq bahane nahi diya ...
Majbooriyon ne paon mein zanjeer daal dee,
Hamne khushi se apko jane nahi diya ...
Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha,
Aisa nahi ke sath dua ne nahi diya ...
Ae dost meri saada dili ne khabhi mujhe,
Aaina doston ko dikhane nahi diya ...
Halat ne ye lutf uthane nahi diya ...
Gam meray sath sath bahut door tak gaye,
Shikwa magar zuban pe aane nahi diya ...
Dastaar gir gayi to gire sar to bach gaya,
kuchh be hisoon ko zarf Khuda ne nahi diya ...
Tha kitna dil shikan teri yadon ka marhala,
Aankhon ko phir bhi ashq bahane nahi diya ...
Majbooriyon ne paon mein zanjeer daal dee,
Hamne khushi se apko jane nahi diya ...
Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha,
Aisa nahi ke sath dua ne nahi diya ...
Ae dost meri saada dili ne khabhi mujhe,
Aaina doston ko dikhane nahi diya ...
·
1 Like ·
Feb 28, 2018 at 19:02
Category: sad
Jokes / Baap Aur Beta
Meena Kumari
Agar Imtehan Mein Paas Na Huay To
baap: agar tum is dafa imtehaan mein paas na huay to muje apna abba mat kehna
larka imtehan khatam honay aur result anay kay baad
baap: tumharay result ka kya bana ?
larka: sorry mr. joseph
larka imtehan khatam honay aur result anay kay baad
baap: tumharay result ka kya bana ?
larka: sorry mr. joseph
·
1 Like ·
Feb 28, 2018 at 16:02
Category: baap-aur-beta
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Sehra Mei Saaebaan Ki Surat
Sehra mei saaebaan ki Surat kahin to ho
Nafrat to her jagah hai muhabbat kahin to ho
Doori ki barf pighlay kisi tor hi sahi
Sardi ki dhoop jesi tamazat kahin to ho
Nafrat to her jagah hai muhabbat kahin to ho
Doori ki barf pighlay kisi tor hi sahi
Sardi ki dhoop jesi tamazat kahin to ho
·
1 Like ·
Feb 28, 2018 at 13:02
Category: general
Sponored Video