Jokes / Miscellaneous

Iqra Raheem

Aaj Mera Zikar Akhbaar Me Aya Hai

aik aadmi doosray aadmi se: mera zikar aaj akhbar me aya hai
doosra aadmi: sach?
pehla admi: yeh surkhi dekho likha hai nah ke mulk ki abadi 20 crore hogai hai.
doosra aadmi: haan likha hai lekin tumhara zikar kaha hai?
pehla aadmi: un 20 crore me me bhi to hoon

· 3 Like · Mar 11, 2018 at 15:03
Category: miscellaneous
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Siyah Hijr Gaya

Siyaah hijr gaya , zard intezaar gayey
kisi ka dard gaya dard k hisaar gayey

udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gayey

naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
humain yeh kaisi museebat main tum utaar gayey

ajeeb dushman-e-jaan tha k bin larray jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gayey

bohat hee thori see muhallat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gayey

kisi k bhaijey huay aagayey thay dunya main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gayey

na chaand atka kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat k aangan main baar baar gayey!!

· 1 Like · Mar 11, 2018 at 11:03
Category: sad
 
Social Wall / Photos

Ijunoon

Windows 8 Wallpaper

· 1 Like · Mar 11, 2018 at 09:03
Category: photos
 
Jokes / Ustaad Aur Shagird

Shagufta Yasmeen

Ghareebi Par Mazmoon

ustad ne bachon se kaha ke wo kal ghareebi par mazmoon likh kar layen aglay din aik bachay ka mazmoon kuch is tarah tha

" aik dafa ka zikar hai ke kisi jagah aik bohat hi ghareeb khandan rehta tha, baap koi kaam nah karta tha, maa ko bhi mulazmat nahee milti thee hatta ke un ke tamam naukar aur driver bhi bohat ghareeb thay....

· 2 Like · Mar 11, 2018 at 08:03
Category: ustaad-aur-shagird
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Pehle Pehle

fikr-e anjaam kar anjaam se pehlay pehlay
din to tera hai, magar shaam se pehlay pehlay
kaisay dam toar gayeen seenay mein rafta rafta
hasaratein, hasrat-e nakaam se pehlay pehlay
baasِ fakhr howa rehzan o qaatil hona
ghar ujarty thay iss ilzaam se pehlay pehlay
aaye bikny pay to herat mein hamein daal diya
woh to be mol thay nilaam se pehlay pehlay
ho bhi sakta hai, bohat khaas nazar anay lagen
woh jo lagtay hain bohat aam se pehlay pehlay
haae woh waqt kay taari thi mohabbat hum par
hum bhi choank uthte thay ik naam se, pehlay pehlay
hum bhi sotay thay koi yaad sarahnay rakh kar
haan magar gardish-e ayyaam se pehlay pehlay
kis qader taiz hawae theen sar shaam kay dil
jal bujha raat ke hangaam se pehlay pehlay
ab ke mushkil woh pari hai kay yeh jaan jati hai
Saad rehtay thay hum aaraam se pehlay pehlay

· 3 Like · Mar 11, 2018 at 05:03
Category: sad
 
Jokes / Miscellaneous

Mohammad Ali Khan

True Incident Happened Today In Karachi Pakistan

TRUE incident ...

KARACHI "
shersha pull per subha 9 bajy
5 afraad ko jin ka taaluq 1 hi khandan say tha or wo 1 gari say otar kr 2sri par sawar hony lagy thy k
aik
na maloom
motorcycle walay Ne
.
.
.
.
Salam kiya
.
3 afrad ne moqay par hi jawab de diya

or

2 ne kaha
.
.
Ye kaun tha?

· 3 Like · Mar 11, 2018 at 01:03
Category: miscellaneous
 
Social Wall / Photos

Ijunoon

Home Delivery

· 1 Like · Mar 10, 2018 at 23:03
Category: photos
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kis Mohabbat Se Mujh Ko Maara Gaya

mere khowaboon mein chaand utara gaya
kis mohabbat se mujh ko mara gaya
aik qaatil ne takhat khaali kya
aik qaatil ko phir puraka gaya
meri aankhon mein khoon uttar aaya
mujh ko maqtal se jab guzaraa gaya
mere baazu nahi rahay mere
lo mara aakhri sahara gaya
phir marey haath paon chalne lagey
jab marey haath se kinara gaya
sab se barh kar tha saneha apna
jung ke sath dil bhi haara gaya
log hanstay hain apni baton par
hum jo kehte hain dil humhara gaya
meri qeemat wusool hotay he
Saad dushman pay mujh ko waraa gaya

· 2 Like · Mar 10, 2018 at 23:03
Category: sad
 
Articles / Health

Ijunoon

Dunya Mai Aids K Marizon Mai Kami Hui Hai

موذی مرض ایڈز کے بارے میں اقوام متحدہ کی جانب سے نئی جائزہ رپورٹ کا اجراء کر دیا گیا ہے۔ اس عالمی ادارے کے مطابق گزشتہ سات برسوں کے دوران اس مرض سے ہونے والی ہلاکتوں میں واضح کمی واقع ہوئی ہے۔ ایڈ...
مزید پڑھیں

· 1 Like · Mar 10, 2018 at 21:03
Category: health
 
i Love Sleeping
Posted by samreen qaisar
Posted on : Nov 01, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS