iJunoon Archives
Jokes / Baap Aur Beta
Zahid Mahmood
Ghar Mai Chakkar
Bacha: Abbu kia aap kisi se pyat karte hain?
Abbu: Haan Tumhari ammi se.
Bacha: Abbu Buhat Chalak ho, ghar mai hi chakkar chalaya hua hai.

·
1 Like ·
Mar 14, 2018 at 22:03
Category: baap-aur-beta
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Taaluq
ik talluq ko bikharne se bachanay ke liye
mere din raat guzarte hain adakari mein
woh kisi aur dawa se mera karta hai ilaaj
mubtala hon mein kisi aur hi bemari mein. .! !

Mar 14, 2018 at 21:03
Category: sad
Social Wall / Photos
Ijunoon
Teen Cheezen Jis Se Mohabbat Barhti Hai
·
5 Like ·
Mar 14, 2018 at 17:03
Category: photos
Jokes / Miya Aur Biwi
Shama Qadir
Facebook Par Status Ko Single Karna Hai
aik aadmi ki biwi mar gai.
rishtedaron aur doston ne usay chup karanay ke baad poocha: tumhe kuch chahiye .
aadmi: han mujhe mera laptop chahiye
sab ne poocha kya karna hai?
to bola Facebook par status ko single karna hai

2 Like ·
Mar 14, 2018 at 15:03
Category: miya-aur-biwi
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tera Sab Kuch Qabool Hai
pathar hai tairay haath mein ya koi phool hai
jab to qubool hai, tera sab kuch qubool hai
phir tunay day diya hai naya faasla mujhe
sir par abhi to pichli masafat ki dhool hai
to dil pay boojh le ke mulaqaat ko nah aa
milna hai is terhan to bicharna qubool hai
to yaar hai to itni kari guftagu nah kar
tera usool hai to mera bhi usool hai
lafzon ki aabaroo ko ganwao nah yun Adeem
jo maanta nahi, usay kehna fuzool hai
aake hansi labon pay bikhar bhi gayi Adeem
jane zayan hai yeh kay khushi ka husool hai

Poetry / General
Muzammil Shahzad
Ek Khuwab Safar Mai Rehta Hai
ik naam ki urti khushbu mein ik khawab safar mein rehta hai
ik bastii ankhen malti hai ik shehar nazar mein rehta hai
kya ehl-e hunar, kya ehley Sharf sab tukre raddi kaghaz ke
is daur mein hai woh shakhs bara jo roz khabar mein rehta hai
pani mein roz bahata hai ik shakhs diye umeedon ke
aur aglay din tak phir un ke hamrah bhanwar mein rehta hai
ik khuwab-e hunar ki aahat se kya aag lahoo mein jalti hai
kya lehar si dil mein chalti hai! kya nasha sir mein rehta hai
jo pairr pay likhi jati hai jo giili rait se bantaa hai
kon uss tehreer ka waris hai! kon aisay ghar mein rehta hai !
har shaam sulagti aankhon ko deewar mein chuun kar jati hai
har khawab, shikasta honay tak zanjeer-e sehar mein rehta hai
yeh shehar katha bhi hai amjad ik qissa sotay jagtay ka
hum dekhen jis kirdaar ko bhi jadu ke assar mein rehta hai

Mar 14, 2018 at 09:03
Category: general
Jokes / Miya Aur Biwi
Abdul Kareem
Biwiyan Shadi Ke Foran Baad Aur 3 Maah Baad
biwiyan shadi k foran baad
biwiyan aati hai teer ki tarha, meethi hoti hai kheer ki tarah, namkeen hoti hain paneer ki tarah
biwiyan shadi ke chand maah baad
chubhti hai teer ki tarah, kardeti hain faqeer ki tarah, nazar rakhi hai shabbir ki tarah

6 Like ·
Mar 14, 2018 at 08:03
Category: miya-aur-biwi
Social Wall / Photos
Ijunoon
Jo Shakhs Naseehat Maan Le
·
10 Like ·
Mar 14, 2018 at 07:03
Category: photos
Sponored Video