Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Sochon pe gham ki shaal ha, tum kion chalay gaye ?
Her simt aik jaal hai, tum kion chalay gaye ?

Sab pochtay hein tark-e-marasim k waqiyat !
Kis ko mera khyal hai ? tum kion chalay gaye ?

Taza tamaam zakhm baharon ne ker diye !
Her phool ka sawal hai, tum kion chalay gaye ?

Hasna to khair apna muqadar na tha kabhi !
Rona bhi ab mohal hai, tum kion chalay gaye ?

Tum ne to jatay jatay mulakaat tak na ki !
Ab tak yehi malaal hai, tum kion chalay gaye ?

Is hijar ne to chean liye hein apny hawaas !
Paglon sa apna haal hai, tum kion chalay gaye ?

Wasiq main kis tarha se uthaon dukhoon k bojh ?
Sara badan nidhaal hai, tum kion chalay gaye ?

Advertisement
· 1 Like · Feb 26, 2017 at 03:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS