Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

sauchta hoon aagahi k es safar ne kya dya
khoon jalanay k siwa meray hunar ne kya dya

meri shakhon se lipat kar aasmaan tak chhoo liya
aur ab bailain ye kehti hain shajar ne kya dya

jiss ne apni har khushi ghar ki khushi par waar di
aik wehshat k ilawa uss ko ghar ne kya dia

kab wo shamil ho saka meray kisi ahsaas mai
sath chalnay k siwa ik ham safar ne kya dia

umr k andhay safar mai kaun rakhta hai hisaab
manzilon say kia mila hai, rehguzar ne kya dya

aarzooain kiss qadar karti hain dil par aitebaar
aarzuon ko dil e naa moatabar ne kya dya

SHAAD dil mai har taraf ab khwahishon ka shor hai
mainay apni ik tamanna ko ubharnay kya dya

Advertisement
· 1 Like · Apr 08, 2017 at 11:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Katrina Kaif Wallpaper
Posted by iJunoon
Posted on : Feb 25, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS