Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Har pal dhiyaan main basne wale log afsaane ho jaate hain
aankhain boorhi ho jaati hain, khuwab purane ho jaate hain

saari baat taaluq wali jazbon ki sachaayi tak hai
mayl diloun main aa jaaye to ghar weerane ho jaate hain

manzar manzar khil uth'ti hai perahan ki qous-e-qazah si
mausam tere hans parne se aur suhaane ho jaate hain

jhon'pariyon main har ik talkhi, paida hote mil jaati hai
isi liye to waqt se pehle, tifl siyaane ho jaate hain

mausam-e-ishq ki aahat se hi har ik cheez badal jati hai
raatain pagal kar deti hain, din deewane ho jaate hain

Advertisement
· 1 Like · Mar 08, 2018 at 01:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

This is going to be real challenge.
Posted by maryam rauf
Posted on : Feb 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS