Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Merey wehm o guman se bhi zyada toot jata hai
Ye dil apni hadoon mein reh k itna toot jata hai

Mein roaon to dar o deewar mujh pey hansnay lagtey hain
Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai

Mein jis lamhey ki khawahish mein safar karta hoon sadyon sey
Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai

Merey khawaboon ki basti sey janazey uthtay jatey hain
Meri aankhein jisey choo lein who sapna toot jata hai

Najaney kitni mudat se hai dil mein ye amal jari
Zara si theeas lagti hai zara sa toot jata hai


Muqadar mein merey sagar shikast o rakhat itni hai
Mein jis ko apna keh doon wo sitara toot jata hai

Advertisement
· 1 Like · Mar 12, 2017 at 18:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS