Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Fuzool hai un sey yeh tamanna key merey gham ki dawa karein gay
Tabahi-e-dil pey jo tulay hon woh dil ki ta’ameer kiya karein gay

Qadeem aik rasm-e-dosti hai magr hai ab bhi wohi ta’alluq
Sitam sahe hain, sitam sahein gey, wafa key badley jafa karein gay

Na zindagi ko sukoon mila hai, na zindagi ney sukoon diya hai
Kabhi jo pohanchay us aastaan tak tu zindagi ka gila karein gay

Shareek-e-bazm-e-hayaat tum they tu aarzu’oon mein roshni thee
Tumhari qurbat sey duur reh kar sukoon mila tu kiya karein gay

Kisi ko maaloom tak na hoga key hum ko thi aap sey muhabbat
Kisi ko mahsoos tak na hoga kuch is tarah hum wafa karein gay

Mata-e-qalb o nazar luta kar uthaye mehroomiyun ke sadme
Gham-e-zamana teri hikaayat baray mazay sey kaha karein gay

Khushi ki halki si aik kiran bhi dil o nazar mein nahi hai zakir
Udaasiyun per hi aasra hai kiya bhi shikwa tu kiya karein gay

Advertisement
· 2 Like · Jul 30, 2016 at 16:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS