Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Barson Kay Baad Dekha , Ak Shaks Dil Ruba Sa
Ab Zehan Main Nahi Hay, Par Naam Tha Bhala Sa

Khowabon Main Khowab Us Ka, Yaadon Main Yaad Us Ki
Nendoon Main Ghul Gaya Ho, Jesay Ke Rat Jaga Sa

Pehlay Bhi Log Aaye, Kitnay Hi Zindagi Main
Lekin Wo Har Tarah Say, Ouron Say Tha Juda Sa

Aglee Mohabaton Nay, Wo Na Muradain Deen Thin
Taza Rafaqaton Say, Kuch Dil Tha Dara Dara Sa

Kuch Ye Keh Muddaton Say, Hum Bhi Nahi Thay Roye
Kuch Zehar Main Bujha Tha Ehbaab Ka Dilasa

Ab Sach Kahain Tu Yaron, Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jaye Ga Kayamat, Ak Wakiya Zara Sa

Taivar Be-Rukhi Kay Andaaz Dosti Kay
Wo Ajnabi Tha Laikin, Lagta Tha Aashna Sa

Hum Dasht Thay Ke Dariya, Hum Zehar Thay Ke Amrit
Nahak Thi fikar Hum Ko, Jab Wo Nahi Tha Pyasa

Advertisement
· 1 Like · Apr 19, 2017 at 10:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS