Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ab haq meiN baharoN ke saba hai ke nahi hai
phuuloN pe wo pehli si hawa ke nahi hai

khushbu ki shahadat bhi bari cheez hai lekin
teraa naqsh-e-kaf-e-paa hai ke nahi hai

wo partab-e-ruKh apna hta leiN tau dikha du
ke in chand sitaaroN mein ziya hai ke nahi hai

ye soch ke naqiboo ko pukaro
raat apne charaGhoN ko hawa hai ke nahi hai

jis Gham ke liye tuu ne kia, tark-e-taalluq
wo Gham tujhe pehle se siva hai ke nahi hai

daulat meiN sukoon husn meiN eesaar ka jazbah
sau baar tujhe keh tau diya hai ke nahiiN hai

maiKhana khule ya na khule sirf ye dekho
sheeshon ke khanakne ki sada hai ke nahiiN hai

ye tau koi Mansoor bataye tau bataye
ke suli pe taRapne mein mazaa hai ke nahi hai

a jaaoge Haalat ki zadd per jo kisi din
ho jayega maaloom Khudaa hai ke nahiiN hai

khaamosh haiN lekin ye Khabar sabko hai Danish
wo dushman-e-ehbaab-e-wafaa hai ke nahi hai

Advertisement
· 1 Like · Jan 19, 2017 at 19:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Aabhi Jaa - 'Raunaq'
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Dec 04, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS