Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Be Qarar December

Be-Qarar Mousam Mein,
Yaad K Jharokon Se,
Phir Tumhi Se Milnay Ki,
Dil Mein Kitni Khuwaish Hai,

Jo Udas Rakhti Hai Aaj Kal,
DECEMBER Ki Phir Udas Shamein Hain,
In Ujaar Aankhon Mein,
Zard Zard Raatein Hain,

Barishon K Mousam Mein,
Toot Phoot Jata Hun,
Jab Bhi Yaad Atay Ho,
Khud Ko Bhool Jata Hun....!!!

· 1 Like · Dec 08, 2015 at 20:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December...!!

December Ki Bheegi Shamon Mein
Kaali Lambi Raton Mein
Teri Yaad Humrah Ho To
Shamein Yunhi Guzar Jayen
Ratein Mukhtasir Hojayen
Hum Teri Yadon Mein Khojayen
To Yeh December To Kya
Kayi December Guzar Jayen...!

· 1 Like · Dec 07, 2015 at 20:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Meri Jannat Mera Ghar Hai

Waqat E Rukhsti Dil Ka
Ajab Alam Thaa Mat Pocho!
Bohat Se Khoof Thay Dil Main
Qadam Muskil Se Utthtey Thay
Na Aansoo Mere Ruktey Thay
Tarap Kr Me Ye Kehti Thee
Ye Hein Ajnabi Anjaan
Nahi Jana Mujhy Roko
Mere Bhai Mere Abu!
Khuda Ke Wastey Roko
Zamana Yuoon Bhi Badala Hai
Ya Mera Dil Hi Pagla Hai
Jo Ab Har Dam Ye Kehta Hai
Mere Bachey, Mera Sajan
Inn Par War Doon Tan Mun
Ye Kehna Hai Iss Dil Ka
Meri Janat Mera Ghar Hai

· 1 Like · Nov 21, 2015 at 11:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Ki Udass Rut

December Ki Udass Rut
Lout Ayi Hay Nami Ankhon Mein Liye
Aur Keh Rahi Hay Mujhe
K Tere Wastey Ab Ki Baar Bhi
Mere Daman Mein Sirf Tanhayi Hay!!!

· 1 Like · Nov 17, 2015 at 13:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Ki Sard Hawaoo

December Ki Sard Hawaoo
Us Se Milo To Kehna
K Aaj Bhe
Us Ki Yaad
Kisi K Dil Main
Mustaqil
Khaima Zan Hay
Koi Aaj Bhe Usay
Uthtay,Bethtay,Sotay ,Jagtay,
Hanstay,Rotay
Yaad Karta Hay


December Ki Sard Hawaoo
Us Se Milo To Kehna

K Aaj Bhe
Kisi Ki Palkain
Sir E Sham He
Us K Intizar Main
Beech Jati Hain,
Aaj Bhe Koi
Us Kay Liye
Udas Rehta Hay

December Ki Sard Hawaoon
Us Se Milo Tou Kehna
K Aaj Bhe
Kisi K Din Rat
Us Kay Bin
Sogawar Guzertay Hain,
Aaj Bhe
Kisi Ki Aankhain
Us Kay Liye
Num Rehti Hain

December Ki Sard Hawaoo
December Ki Sard Hawaoo

· 1 Like · Nov 17, 2015 at 07:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Aaj Tumhari Saalgirah Hai

Jalti shamen, Roshan chehrey
Nazuk larian, Kamni sehrey
Nargis, Baila, Motia, lalah
Johi, Champa aur Banafsha
Dekho har koi shaad hai na
Aaj tumhari salgirah hai
Dekho hum ko yaad hai na

· 2 Like · Nov 16, 2015 at 11:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Aakhri Chund Din December K

Aakhree Chand Din December K
Har Baras Hi Giraa Guzartay Hain
Khwahishoon Kay Nigaarkhanay Mein
Kaisay Kaisay Gumaan Guzartay Hain
Raftagaan Kay Bikhartay Saalon Ki
Aik Mehfil Si Dil May Sajti Hai
Phone Ki Diary K Safhoon Say
Kitnay Number Pukartay Hain Mujhe
Jin Say Murboot Benawa Ghantee
Ab Faqut Meray Dil May Bajti Hai
Kis Qadar Pyaray Pyaray Naamoon Per
Raingtee Budnuma Lakeerain C
Meri Aankhoon Main Phail Jaatee Hain
Doorian Daairay Banati Hain
Hur December Kay Aakhree Din Mein
Hur Baras Ki Tarha Say Ab Kay Bhi
Diary Ik Sawal Kerti Hay
Kiya Khaber Is Baras K Aakhir Main
Meray In Bechirag Safhoon Say
Kitnay Hi Naam Kut Gaiy Ho Gain
Hur December Mein Sochta Hoon Main
Aik Din Is Tarha Bhi Hona Hai
Rang Ko Roshni Mein Khona Hai

· 1 Like · Nov 16, 2015 at 05:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Daikh December

Dekh December !
Ab Mat Ana
Dekh December !
Mere Andar Kitnay Sehra Phail Chukay Hain
Tanhai Ki Rait Ne Mere
Saaray Dariya Baant Diye Hain
Ab Main Hoon
Aur Mere Banjhar Pan Ki Bojhal Ta Hai
Dekh December !
Teri Baraf Shabon Main
Teri Bekhuwab Shabon Main
Khuwab Sweater Kon Bunay Ga
Rooh K Andar Girti Barfain Kon Chunay Ga
Dekh December !
Apnay Dukh Ki Baraf Pehen Kar
Dhoop Diyaron Tak Mat Jana
Mere Piyaron Tak Mat Jana
Dekh December
Ab Mat Ana
Ab Mat Ana ...!

· 1 Like · Nov 15, 2015 at 23:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Tujhe Khoja Karta Hun

Tuj Say Judai Ka Dukh
Tere Hijr Ka Karb
Dekh! Phir Say Aa Gai Hain
December Ki Sard Ratain
Azab Ratein
Tere Karb Main Dobi
Khwab-Nak Ratain
Teri Wo Pur Noor Ratain

Tujhe Kia Khaber
December Ki Sard Ratoon Main
Tere Sung Beeti Sardion Ki
Khoshgawar Khobsurat Shaamoo Ko Yaad Kerta Hoon
Is Mohoom Si Tamana K Sahare
Teri Talash My
Sarkoon Per Awara Phirta Hoon

Aate Jate Chehroon Main Tujhe Khoja Kerta Hoon
Shayad K Wo Tum Ho

Aur Thak Haar Ker Jo Laut.Ta Hoon
To Khud Per Khob Hasta Hoon
Phir !
Phoot Phoot Ker Roota Hoon

· 1 Like · Nov 15, 2015 at 17:11
Category: occassional-events
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS