Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Mujhe Tum Achi Lagti Ho
Tumhain Main Acha Lagta Hon
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Tumhari Jagmagati, Muskurati,
Geet Gati, Dil Ruba Aankhain
Boht Gehri Badi Katil Nihayat
Khushnuma Aankhain
Mere Dil Se Meri Be-tabiyon Se
Khelti Aankhain
Khamoshi Ki Zuban Me
Mujh Se Kiya Kuch Bolti Aankhain
Bazahir Doston Me Khil-Khilati
Chor Nazron Se Mujhe Muskurati
Aawaz Deti Dhondti Aankhain
Wo Meri Rouh K Rukhsar Ko
Ek Faasle Chumti Aankhain
Ye Sb Batain Batati Hay
Main Tum Ko Acha Lagta Hon
Wo Mere Zabt Kho Denay
Pe Pemaish Bhari Nazrain
Adaa-E-Be-Niazi Ka Wo Ek
Naa-Kaam Sa Manzar
Wo Ek Kamzor Si Be-ittifaqui,
Be-rukhi K Sir Pe Ek
Mohoom Si Kawish
Mujhe Han Mujhe
Yun He Nazar Andaz
Karne Ki Wo Ek
Dil-Chusp Si Koshis
Sar-E-Mehfil Tumhara Raaz
Khul Jane K Dar Se
Be-irada Ghair Ehem Logon Se
Rasm-E-Guftogu Karna
Ye Sb Batain Btati Hay
Tumhain Main Acha Lagta Hon
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Mere Be-sakhta Fiqray
Mere Lehjay Ki Hr Shokhi
Mera Hr Waqt Hr Ek Simt
Tum Ko Dhondtay Rehna
Nazar Partay He Tum Pr
Zor Se Dil Ka Dharak Uthna
Ye Sb Batain Batati Hain
Mujhe Tum Achi Lagti Ho
Tumhain Main Acha Lagta Hon
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Hamaray Darmiyan Rasmon, Riwajon Ka
Samaji Martabe Ka Umr Ka Or Khandanon Ka
Boht Gehra Khalaa Hay
Usay Kesay, Kesay, Kesay Pur Kiya Jaye?
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?

Advertisement
· 1 Like · Oct 24, 2016 at 22:10
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Hina Rabbani Khar
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 10, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS