Poetry / Love

Muzammil Shahzad

baKht se koi shikaayat hai na aflak se hai
yahii kyaa kam hai ke nisbat mujhe is Khaaq se hai

Khwaab meN bhi tujhe bholoun tau rawaa rakh mujhse
vo rawaiya jo hawaa ka Khas-o-Khashaak se hai

bazm-e-anjum meN qabaa Khaaq kii pahnii maine
aur merii saarii fazilat isii poshak se hai

itnii raushan hai terii subH ke dil kahtaa hai
ye ujaala to kisi deeda-e-namnaak se hai

haath to kaat diye kuzagarooN ke hamne
moajezay kii wahii ummid magar chaak se hai

Advertisement
· 1 Like · Feb 15, 2017 at 16:02
Category: love
 

Latest Posts in poetry

sardar ne kapray dhonay ka socha.
Posted by babar ali
Posted on : Nov 20, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS