Archives

Poetry / General

Muzammil Shahzad

mein khawab bohat daikhta hon

ayesay khawab !

jin mein koi Dukh‘ koi pareshani nahi hoti

jin mein wasal kay raste hijar ki waadi say ho qr nahi guzaartay

jin mein muhabbat hamesha adh khulay phool ki tarrha khobsorat

aur bachay ki muskaan ki tarrha pakeeza hoti hai

ayesay khawab !

jahan aik muskurahat ki qeemat hazaar ansun nahi hotay

meri palkon ki shakhon par kayi ayesay khawab baithy rehtay hain

unn ki mujahe jeeney peh uksaati hai

naye raaston ki aur lay qr chalti hai

nai manzlon ka pataa batati hai

mujahe apnae khawabon say muhabbat hai

unn khawabon mein rehnay walay aik aik shakhs say muhabbat hai

unn khawabon mein Dikhne wali aik aik shye say muhabbat hai

keh yeh sab mera hai‘ sirf mera

merae khawab merae ilawa koi nahi daikh sakta

jab tak keh mein nah unhain dikhana chahoon

koi unhain meri aankhon say chura nahi sakta

jab tak keh mein khud nah kisi ki aankhon mein saja duun

merae Khuwabo!

aaj mein yeh iqraar karta hon !

keh mein tum mein zindah hon

yeh sach hai keh mujahe inn aansuon say dar nahi lagta

magar phir bhi mein shayad iss liye ronay say drta hon

keh inn aankhon mein tum rehtay ho

tumhara hona mera hona hai

aur mein tumhein khonay say drta hon ,

Advertisement
· 1 Like · Jul 20, 2016 at 19:07
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Mai Paida Kaise Hua?
Posted by noor bukhari
Posted on : Sep 03, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS