Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

Har Pal Yahi Kehta Hoon
Mujse Koi Dosti Kar Lo
Pal Do Pal Ki Nahi Chahiye Muje
Zindagi Bhar Ki Rishtay Daari Karlo

Mujse Koi Dosti To Karlo

Akela Pan Mehsoos Karta Hoon
Koi To Meri Majboori Ko Samjo
Nahi Chahiye Heeray jawahrat Aapse
Aapki Anmol Dosti Mere Naam Karlo

Mujse Koi Dosti To Karlo

Dosti –e – Mudal Dedo Muje
Uska Biyaaj Me Dil Se Lotaunga
Zindagi Me Yahi Ek Cheez Ki
Mujpar Udhari Hai Samajlo

Mujse Koi Dosti To Karlo

Har Mouke Ko BantNa Chahta Hoon
Kuch Sunna Kuch Suna Na Chahta Hoon
Ghum To Aakela Hi Pi Jaunga Yaaro
Khushi Kiske Sang Bantu Yeh Kehdo

Mujse Koi Dosti To Karlo

Dost Ko Dosti Se Zyada Rakhunga
Pyar Se Bhi Barh kar Pyara Kahunga
Nahi Aane Dunga Tumhari Aakho Me Aasu
Ek Baar Nihar Par Aaitbaar To Karlo

Mujse Koi Dosti To Karlo

Har Pal Yahi Kehta Hoon
Mujse Koi Dosti Kar Lo
Pal Do Pal Ki Nahi Chahiye Muje
Zindagi Bhar Ki Rishtay Daari Karlo

Advertisement
· 1 Like · Jan 25, 2015 at 11:01
Category: friendship
 

Latest Posts in poetry

Aisa Hi Hota Hai
Posted by Abdul Waheed
Posted on : Sep 10, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS