Poetry / 0

Ijunoon

Udaas Patjharoon Ke Shaam

hansi, masoom see bachoon ke copy mein abarat see
hiran ke peeth pay baithay parinday ke sharaat see

woh jaisay sardiyoon mein garam kapray day faqiroon ko
laboon pay muskurahat thi magar kaisi haqaarat see

udaasi pat jharoon ke shaam oorhay rasta taktee
pahari par hazaroon saal ke koyee amarat see

sajaye bazo'oon par bazoo woh maydan mein tunha tha
chamakti thi yeh basti dhoop mein taraj o gharat see

mairi ankhoon, mairay hontoon pay yeh kaisi tamazat hai
kabootar kay paroon ke raishmee ujlee hararat see

khilla dai phool mairay bagh mein pay'ghambaroon jaisa
raqum ho jis ke pay'shaani pay aik ayaat basharat see

· 3 Like · Apr 23, 2021 at 01:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Kashtee Kay Musafir Nay

apnoon mein raha dil mein utar kar nahi daikha
kashti kay musafir nay samandar nahi daikha

bay'waqat agar jaoon ga sab choonk parain gay
ik umar hoee din mein kabhi ghar nahi daikha

jis din say chala hoon mairi manzil pay nazar hai
ankhoon nay kabhi meel ka pathar nahi daikha

yeah phool mujhay koi warasat mein millay hain
tum nay maira kantoon bhara bistar nahi daikha

pathar mujhay kehta hai maira chahnay walla
mein moom hoon, uss nay mujhay choo kar nahi daikha

· 3 Like · Dec 20, 2018 at 02:12
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Asmaan Ki Khushboo

chamak rahi hai paroon mein uraan ke khushboo
bula rahi hai bohat asmaan ke khushboo

bhatak rahi hai purani dalaiyaan oorhay
havaili mein mairay khandaan ke khushboo

suna kay koye kahani, humain sulaatee theen
dua'oon jaisee, baray pandaan ke khushboo

daba tha phool koyee maiz poosh kay neechay
garaj rahi thee bohat paychwan ke khushboo

ajab waqar tha sookhay sunehray baloon mein
udasiyoon ke chamak, zard lawn ke khushboo

woh itar dan sa lehja mairay buzurgon ka
rachi bashi hoi urdu zubaan ke khushboo

khuda ka shukar hai mairay jawan baitay kay
badan say aanay lagi hai za'fran ke khushboo

umartoon ke bulandi pay koi mousam kya
kahan say aa gai kachay makaan ke khushboo

guloon pay likhti hoi La' illah il Lall Allah
pahariyoon say utartee azaan ke khushboo

· 4 Like · Dec 19, 2018 at 20:12
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Koee Phool

koee phool dhoop ke patioon mein haray ribbun say bandha howa
woh ghazal ka lehja naya naya, na kaha howa na suna howa

jissay lay gaiee hai abhi hawa, woh warq tha dil ke kitaab kaa
kaheen ansoon say mita howa, kaheen ansoon say likha howa

kaee meel rait ko kaat kar koye mouj phool khilla gayee
koi pair payaas say mar raha hai nadi kay paas khara howa

wohi khat keh jis pay jagah jagah do mehaktay hontoon kay chand thay
kisee bholay bisray say taaq par teh gard ho ga daba howa

mujhay hadsoon nay saja saja kay bohat haseen bana diya
mera dil bhi jaisay dulhan ka haath ho mehandiyon say racha howa

wohi sehar hai wohi rastay wohi ghar hai aur wohi lawn bhi
magar iss dareechay say poochna woh darakhat anar ka kya howa

mairay sath jugnoo hai humsafar, magar iss sharar ke bisaat kya
yeah chiragh koi chiraagh hai, na jala howa, na bujha howa

· 2 Like · Dec 19, 2018 at 13:12
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Younhi Bay'sabab Na Phira Karoo

younhee bay'sabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
woh ghazal ke sachi kitaab hai ussay chupkay chupkay parha karo

koi haath bhi na milaye gay jo galay miloo gyi tapaak say
yeah naye mizaaj ka shehar hai zara faslay say milla karo

abhi rah mein kai morr hain koi aye ga koi jaye ga
tumhain jis nay dil say bhula diya, ussay bholnay ke dua karo

mujhay ishtehaar see lagtee hain, yeah mohabtoon ke kahaniyaan
jo kaha hai wo suna karo, jo suna nahi wo kaha karo

kabhi husan parda nasheen bhi ho zara ashiqana libaas mein
jo mein ban sanwar kay kaheen chaloon mairay sath tum bhi chala karo

nahi bay'hijaab woh chand sa kay nazar ka koye asar na ho
ussay itni garmi e shouq say bari dair tuk na takka karo

yeah khizaan ke zarad see shaam mein jo udaas pair kay pass hai
yeah tumharay ghar ke bahaar hai issay ansoon say hura karo

· 2 Like · Dec 18, 2018 at 17:12
Category: 0
 
Poetry / Relegious

Ijunoon

Allah He Allah

mein nay tairi ankhoon mein parha Allah he Allah
sab bhool gaya yaad raha, Allah he Allah

phooloon mein basi chandini ratoon ke namazain
khushboo se sitaroon ke dua, Allah he Allah

pairoon ke safain pak farishtoon ke qitarrain
khamoosh pharoon ke nida, Allah he Allah

baadal ke ibadat hai barasta howa paani
ansoo ke ghazal hamd o sana, Allah he Allah

ik phool nay konain ke doulat mujhay day'di
ansoo say hatayli pay likha Allah he Allah

hum dono ussi paak samandar ke hain lehrain
La haath mairay hath mein la, Allah he Allah

Ik naam ke takhti ka mujhay shouq howa tha
pani pay hawaoon nay likha Allah he Allah

woh sourat e yaseen ke kafoor ke khushboo
mehkay howay pholoon ke rida, Allah he Allah

· -7 Like · Dec 18, 2018 at 09:12
Category: relegious
 
Poetry / Sad

Yehi Wafaa Ka Silaah Hai

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se,
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main chupa ke tumko,
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi,
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi,
Kisey majaal kahe koi mujh ko deewana,
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

· 3 Like · Dec 17, 2018 at 22:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Amjad Z

Kya Khabar Thi Is Tarah Se Wo Juda Ho Jayega

KYA KHABAR THI IS TARAH SE WO JUDA HO JAYEGA
KHWAB MEIN BHI USKA MILNA KHWAB SA HO JAYEGA

DOST BANKAR JISKO CHAHA YEH MAGAR SOCHA NA THA
DOSTI HI DOSTI MEIN WO KHUDA HO JAYEGA

USKA JALWA HOGA KYA JISKA KI PARDA NOOR HAI
JO BHI DEKH LEGA USKO WO FIDA HO JAYEGA

JINDGI KI KAID-E-GAM SE KYA NIKALOO AB USE
MAUT JAB AAYEGI TO KHUD RIHA HO JAYEGA

· 3 Like · Dec 17, 2018 at 15:12
Category: sad
 
Poetry / Love

Rafiq

Phool Khilte Rahein Zindgi Ki Raah Mein

Phool khilte rahein zindgi ki raah mein
hansi chamakti rahe aapki nigaah mein
kadam kadam par miley khushi ki bhaar aapko
dil deta hai yehi dua baar baar aapko

· 2 Like · Dec 17, 2018 at 09:12
Category: love
 
Ek Thi Behen
Posted by Funny Videos
Posted on : Sep 28, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS